Monday, May 20, 2024
HomeIndiaSunny Deol ki Parlimani rukuniyat khatray mein

Sunny Deol ki Parlimani rukuniyat khatray mein

New Delhi: Bollywood Action Hero Sunny Deol jo kay BJP ki ticket par kamyabi haasil karte huwe parliament mein rasai haasil ki hai lekin ab unki rukuniyat par khatray ke baadal mandla raha hain. Film Adakar aur Punjab ke Gurdaspur se BJP rukan parliament Sunny Deol se mutaliq buri khabar samnay aayi hai. BJP ke ticket par shandaar kamyabi haasil karne walay Sunny Deol ki parliamani rukuniyat par khatrah hain aur is khatrah ki wajah Lok Sabha intekhab ke douran un ke zareya kya gaya kharch hai jis ke mutaliq intekhabi Commission neh Sunny Deol ko Notice bheja hai.

Darasal intikhabi Commission neh Lok Sabha intikhab ke liye fi umeedwaar zeda se ziyada kharch ki had 70 lakh rupay tey ki thi aur zaabtay ke mutabiq agar koyi umeedwaar is muqarara had se ziyada kharch karta hai to is ke khilaaf sakht karwai ki jaye gi. Sath hi qanoon yeh bhi hai ke agar koi umeedwaar ziyada kharch kar ke kamyaab bhi ho gaya to bhi Commission karwai karte huwe kamyaab umeedwaar ki rukniat mansookh kar dosray number par anay walay umeedwaar ko kamiyaab qarar dainay ka ikhtiyar bhi rakhti hai.

Zaraye ke mutabiq Sunny Deol neh intikhabi tashheer ke douran 86 lakh se zayed rupay kharch kiye hain aur is ki khabar intikhabi commission taq poanch gayi hai. Yahi wajah hai ke commission neh notice bhaij kar un se wazahat talabb ki hai. Sunny Deol ke kharch ka hisaab kitaab laganay mein masroof intikhabi observers neh un se dobarah tafseel talabb ki hai. Is silsilay mein Sunny Deol ke qanoy musheeron neh kaha hai ke election kharch ka jaiza lainay mein intikhabi commission ki team se ghalti ho gayi hai. Jald hi election observers ko tehqiqaat karne ke baad kharch ki sahih tafseelaat day di jaye gi.

Qabil zikar hai ke Gurudaspur nashist se Sunny Deol se shikast khanay walay Congress umeedwaar Sunil Jakhar neh election mein 63 lakh, aap ke paiter maseeh neh 7 lakh 65 hazaar, Lal Chand Kataru Chak neh 9 lakh 62 hazaar rupay kharch kiye. Sunny Deol hi hain jin ho neh muqarara had se ziyada kharch ki aur is kharch ki dobarah tehqiqaat commission karwa rahi hai.

Election Commission ke mutabiq RP Act 1951 ki dafaa 77 ke mutabiq agar koi umeedwaar muqarra had se ziyada kharch kar intikhabi commission se is tafseelaat posheeda rakhta hai to usay na ahal qarar diya ja sakta hai. Doosri taraf Congress Umeed waar Sunil Jakhar neh kaha ke zabton ki khilaaf warzi saabit honay par intikhabi commission ko chahiye ke woh Sunny Deol ke khilaaf karwai kere.