Monday, April 21, 2025
HomeIndiaSuni Waqf Board Ayodhya tanaza se mutaliq Supreme Court ke faislay ko...

Suni Waqf Board Ayodhya tanaza se mutaliq Supreme Court ke faislay ko challenge nahi kere ga

Lacknow: UP Sunni Waqf Board Ayodhya tanaza se mutaliq Supreme Court ke faislay ko challenge nahi kere ga. mangal ke roz yahan munaqidah ek hungami ijlas mein ye faisla kiya gaya. is ijlaas mein Board ke 8 mmmbers mein se 7 members ne shirkat ki. un mein se 6 Members ne mutafiqa tor par raye di thi ke faisla par nazar sani ki koi darkhwast dair nahi ki jani chahiye, lekin satwen mumbar Abdul Razzaq ne is waqt ikhtalafi Note uthaya, jab unhoun ne kaha ke darkhwast dair ki jani chahiye, is par deegar member ne inhen zair kiya. baad mein Abdul Al Razzaq ne Board ke faislay ko mazhaka khaiz qarar diya.

Mazkoorah ijlaas mein shirkat karne walay afraad mein Board ke Chairman Zafar Farooqi , Adnan Farooq Shah , Khasnuda Miyan, Junaid Siddiqui , Mohammad Junaid, Mohammad Abrar Ahmed aur Abdul AlRazzaq shaamil hain. Sunni waqf board ke chairman Zafar Farooqi ne 9 November ko Supreme court ke faislay ke baad hi kaha tha ke faislay ke elaan ke baad Ayodhya muamlay par koi nazar sani ki darkhwast dair nahi ki jaye gi. kayi Members ne Zafar Farooqi ke is faislay par sawal uthaya tha ke baghair board ke ijlaas ke ye faisla kiya gaya.

Zafar Farooqi ne Media numaindoun ko bataya ke board ki janib se abhi is baray mein koi faisla nahi kiya gaya hai ke, aaya 5 aekar araazi ki peshkash ko qubool kiya jaye ya nahi. unhoun ne kaha ke hukoomat ki janb se zameen ki koi thos peshkash ke baad ye maamla ek aur ijlaas mein uthaya jaye ga.

Idhar, All India Muslim Personal Law Board ( AIMPLB) pehlay hi keh chuka hai ke woh nazar sani ki darkhwast dair kere ga. AIMPLB, munhadim Masjid ko tabdeel karne ke liye kisi mutabadil site ko qubool karne ke bhi khilaaf hai. –YTN STAFF