Saturday, May 4, 2024
HomeSliderSunehri Masjid 25 saal baad khawateen ke liye khol di gayi

Sunehri Masjid 25 saal baad khawateen ke liye khol di gayi

Peshawar: Pakistan ke soobah Khyber Pakhtunkhwa ke dar-ual-hukoomat Peshawar ki tareekhi Sunehri Masjid ko 25 saal baad khawateen namazyoun ke liye ek martaba phir khol diya gaya. Peshawar ke ilaqay sadar mein waqay is tareekhi Masjid mein barsoun baad khawateen ke liye Namaz jummay ka ihtimaam kiya gaya jahan 15 se 20 khawateen ne Namaz ada ki.

Is hawalay se Masjid ke naib Imam Mohammad Ismail ne kaha hai ke khawateen ke liye Masjid kholnay ka faisla sadar ke ilaqay mein rehne wali khawateen ki aasani ke liye kiya gaya. Unhoun ne mazeed kaha ke 1996 se qabal khawateen ko Masjid ke oopri hissay mein Namaz Jummay ada karne ke liye anay ki ijazat thi taham 1996 mein askriat pasandi bhedne ke baad khawateen ke dakhlay par pabandi lagadi gayi thi.

Mohammad Ismail ne kaha hai ke taham ab Masjid ka ye makhsoos hissa dobarah khawateen ke liye khol diya gaya hai jahan wo Namaz Jummay ka khutba bhi sun sakti hain jabkay Namaz bhi ada kar saken gi. Masjid mein Namaz Jummay ke aaj honay walay ijtima ke hawalay se unhoun ne kaha ke Jummay ke khutbe ke douran khateeb ne khawateen ke masail aur un ke huqooq par bhi baat ki. Naib Imam Mohammad Ismail ne kaha ke is Masjid ki taamer ka aaghaz 1946 mein shuru huva tha aur 30 saal baad ye mukammal huvi thi. Alawa azeen sadar ilaqay ki rehaishi 45 sala khatoon Kausar ne Media se kaha ke unhoun ne aur un ki baityoin ne pehli martaba Masjid mein Jummay ki Namaz ada ki. Wo is iqdaam se be hadd khush hain jabkay ye khawateen ke liye ek achcha faisla hai. –YTN STAFF