Hyderabad 8. Sultan Shahi, Mughalpura, Hyderabad se talluq rakhnay wali aik Azim Hajj mohtarma Hafiza bi zauja Mirza Qutubuddin Baig umar 70 saal ka aaj subah Makkah Muazzama ke Al-Noor Hospital mein intqaal hogaya. Woh cover number TSR-7172-2-0 ke tehat apne betay Amjaduddin Baig ke hamrah 1st Augst ko ba-azm Hajj rawana hui then, un ko tannafus ki shikayat ke baayis kal Makkah Muazzama ke Al-Noor Hospital mein shareek karwaya gaya tha. Special Officer Telangana Stat Haj Committee professor S.A. Shukoor ney Khadim ul Hujjaj ko un ki namaz e janaza aur tadfeen ke liye fauri karwaiya karne ki hidayat di. Baad maghrib namaz e janaza Haram Shareef mein ada ki gayi aur tadfeen Makkah Mukaramah ke qabrastaan ‘Sharyeen’ mein amal mein aayi.
Hajj se qabal yeh riyasat e Telangana ki paheli Azim Hajj hain jin ka intqaal huwa hai. Sadarnasheen Telangana State Haj Committee janab Mohammad Masiullah Khan aur Special Officer Prof. S.A. Shukoor ney marhoom ke lawahiqeen se baat ki aur un se izhaar taaziyat karte hue sabar Jameel ki talqeen ki. Hyderabad Emabrcation pointe se talluq rakhnay walay tamam Hujjaj karaam Makkah Muazzama mein apni apni rehayesh gaahon mein muqeem hain aur kheriyat se hain. Hajj Mission aur khadim ul Hujjaj se musalsal rabt rakha gaya hai aur Hujjaj karaam ki sehat wo slamati ke talluq se maloomat haasil ki jarahi hain. Un se qabal 20 Hindustani Aazmin e Hajj, Makkah Mukramah aur Madinah Munawwara mein intqaal kar gaye hain.