Sunday, April 20, 2025
HomeOthersHealthSugar se muqablay may bharpoor neend aur mutawazan khezaye kaleed

Sugar se muqablay may bharpoor neend aur mutawazan khezaye kaleed

Hyderabad: Aalmi idaara sahet ki taaza tareen Report ke mutabiq dunia may lag bhag 425 Million afraad Diabities ( Sugar ) ka shikaar hain jin may se 70 Million afraad Hindustan may rehtay hain. beshtar ubharti huvi mayshtoun may ye tadaad mustakil tor par badh rahi hai kyu ke un mumalik may gurbat aur iflaas par qaboo panay kamyabi haasil hui hai. is ziman may izhaar khayaal karte hue Dr Ather Pasha Consultant General Physician, General Medision, Care Hospital ne kaha ke Diabities ki do ahem aqsam hain.

Type. 1 jo ke bohat kam umar se hi kisi bhi fard may dekha jata hai aur is ka ilaaj sirf Insoline Injection se kiya ja sakta hai aur Type 2 jo kisi bhi umar may ho sakta hai. kuch dahe qabal ye khayaal kiya jata tha ke sirf darmiyani umar , matmool afraad Diabities ka shikaar hotay hain lekin ab halaat badal chuke hain aur baaz auqaat nov umar afraad may bhi Blood Sugar ki ghair mamooli satah darj ki jati hai. ye darmiyanay tabqay, mehnat kash tabqay aur yahan tak ke dehi lok may bhi dekha jata hai. riwayati tor par abadi ke barhatay hue hissay may Diabities ka sabab ban’nay ke liye tarz zindagi ke awamil jaisay barhatay hue sheharvary, kaam ki ghair dostana noiyat aur ghair sahet bakhash ghiza ki aadaat ko riwayati tor par zimme daar qarar diya gaya hai.

Diabities ka aalmi din har saal 14 November ko badhtay hue maslay ki taraf raghib karne ke liye manaaya jata hai is ka ek maqsad awam may ye shaoor peda karna ke saihat mand tarz zindagi ziyada tar afraad ke hathoun may hoti hai. ab tibbi Science daano ka khayaal hai ke Diabities kis ko hota hai aur kis ko nahi hota hai is baat ka taayun karne ke liye qareeb 100 jin mil kar kaam karte hain. is ke ilawa, bemari mukhtalif sathoun par ek mukhtalif raftaar se badhti hai, khaas tor par Diabities ki pechidgioun ke muamlay may jaisay Gurdey ki nakami, Dil ki bemari, Aankhon may retna ki kharabi, zakhamo ki takheer may mundamil hona waghera ye sab jeneati tagayyuraat ki wajah se hai.

Dosray ahem kasheedgi aur iztiraab ke sath sath neend ka miyaar bhi hai.tanao jism ko Cholesterol aur Andrenaline jaisay Hormone peda karne par uksata hai, jo insani jism ko kisi bhi Challenges ka muqaabla karne ke liye tayyar karta hai aur gatra ya challenge khatam honay ke baad ye Hormone aahista aahista khoon se bhi khatam ho jatay hain. taham, agar tanao ziyada lambay arsay tak barqarar rehta hai to Harmons ke zareya peda honay walay Glucose aur Oxygen ki farahmi baqi reh jati hai. ye tanau aur Diabities ke sabab ke darmain rabt hai.

Isi terha jab hum sotay hain to hamara jism samaitt jata hai aur Oxygen aur Glucose ki zaroorat bhi jaagne walay auqaat se kam hoti hai lehaza jigar may keemiyai radd amal, dil ki dharkan aur Blood Pressure, saans lainay ki geherai aur raftaar ke zareya Glucose ki pedawar bhi aahista aahista hoti hai. ye wo waqt hota hai jab insani jism din ke tanao se baz aa jata hai. ab agar neend may rukawat hai to, saans ki kharabi ki wajah se ya raat ke waqt bai-tul khala jaaney ki zaroorat ki wajah se to is se aap ke jism ko sahet yab honay ka mauqa nahi milta hai. nateeja mustaqil tor par High Blood Sugar hai, jo mamool ke ilaaj mualjay jaisay dawaon, ghiza par qaboo panay, werzish waghera ka jawab dainay may nakaam rehta hai.

Dr ne mazeed kaha hai ke un tamam pechidgioun ke sath neend may mustaqil rakawaten marz ki ek shakal hai jaisay OSE kaha jata hai. kharatay jaisi halki si shakalain, jisay ziyada tar log nazar andaz karte hain, wo bhi itnay hi khatarnaak hain jis se OSE ke phelnay ka mauqa milta hai. yahi wajah hai ke Diabities ke mareezoun ya methabolic  bimarioun jaisay  motapa aur High Blood Pressure ka ilaaj karne walay Doctoroun ko apne mareezoun may neend ke aarzoun ke kirdaar par munasib tavajja dainee chahiye. awam ko mahswara diya gaya hai ke wo mutawazan khezao aur bhar poor neend ke zareya Sugar ka muqablay karen. –YTN STAFF