Monday, May 20, 2024
HomeIndiaSubhash Chandra Bose ki barsi par Mamata Banerjee nay inhen yaad kiya

Subhash Chandra Bose ki barsi par Mamata Banerjee nay inhen yaad kiya

Kolkata: Maghribi bangal ki wazeer-e-aala Mamata Banerjee nay itwaar ko, azeem hindustani Mujahid azaadi wo azad hind fouj ke baani Subhash Chandra Bose ki barsi Par inki pur asaraar ghumshudgi ko yaad kiya .

Mamata Banerjee nay Tweet karte hue kaha ke ”1945 mein aaj ke din Neta jee ne taiwan ke Taihoku  hawai adday se udaan bhar kar chalay gaye, aur hamesha ke liye gayab hogaye. hamein abhi bhi nahi pata ke unke sath kiya  hua. unhon nay kaha ke logon ko sarzamin hind ke azeem shakshiyat ke barey mein jan-nay ka haq hai.

Subhash chandra bose ke kumbe ke kuch afraad ke sath sath kuch mohaqiqeen ka bhi maanna hai ke neta jee ki mout, Taihoku  hawai adday par hawai jahaaz ke haadsay mein hui thi. taham, khandan ke deegar logon ke alawa inqalabi rehnuma ke madahon ki ek badi tadaad nay hawai jahaaz haadsa mein mout honay wali baat ko mustard kar diya hai.

Hindustani hukoomat nay Neeta jee ke laa-pata honay ki haqeeqat jan-nay ke liye teen se ziyada tehqiqati commission tashkeel diya tha. 1999 mein, Mukharjee commission, jis ki sarbarahi mein supreme court ke retired judge MK Mukharjee they Mukharjee Neeta jee ki ”Mubeena tour par gumshidgi ke 6 saal taweel tehqiqaat ka aaghaz kiya . mazkoorah commission nay yeh nateeja akhaz kiya  ke Neeta jee ke gayab honay ko, core faraham karne ke liye hawai jahaaz haadsa ka nazariya nafiz kiya  gaya tha. –YTN STAFF