Sunday, April 20, 2025
HomeHyderabadSSC Ke Talba Ko Khudkushi Se Bachanay Do Roza Counseling Ka Elaan

SSC Ke Talba Ko Khudkushi Se Bachanay Do Roza Counseling Ka Elaan

Hyderabad: Intermediate imtehanaat ke nataij baad talba ki khudkushi ke badhtay rujhan ke baad shoba-e-taleem ke ohday daaron aur walidain mein ek qisam ka khadsha paaya jata hai aur ab jabkay 10th class ke nataij ka bhi anqareeb elaan kardiya jayega lekin taleemi shobay ke ohdedaron aur walidain ke alawa school intizamia aur teachers ko bhi yeh khadsha pareshan kiye ja raha hai ke kahin SSC ke nataij ke baad bhi nakaam honay walay talba khudkushi karenge lehaza ab faisla kiya gaya hai ke SSC ke nataij se pehlay aur aur baad mein talba ki zehan saazi ki jayegi aur sath hi Aala taleem ke liye moujood mukhtalif nisaab aur courses ke liye bhi Counseling ki jayegi .

Is zimn mein principal secretary education B Janardhan Reddy ney kaha hai ke commissionaire and director of school education department T Vijay Kumar aur controller of examination B Sudhakar ke sath ek ijlaas munaqqid hua jis mein yeh faisla kiya gaya ke kyunkay talba school ke principals aur asateza ke sath qareebi talluq mein rehtay hain aur asateza har taalib-e-ilm ki kamzoree aur taaqat se achi tarha waaqif hotay hain lehaza yeh faisla kiya gaya hai ke dasvin jamaat ke nataij se pehlay aur nataij ke baad talba ke liye Counseling ka ihtimaam kya jayega. imtehanaat se qabal 9 aur 10 May ko Counseling ka ihtimaam kya ja raha hai jis mein talba ko nataij ke baad kisi bhi halaat ke liye tayyar rehne ke zimn mein zehan saazi ki jayegi. tafseelaat mein bataya gaya hai ke nataij ke baad bhi kamyaab honay walay talba aur nakaam honay walay talba dono ke liye Counseling ki jayegi. jo talba nakaam honge inhen hosla afzai ke sath yeh kaha jayega ke nakami waqti hai aur woh advance Supplementary mein dobarah kamyaab ho sakte hain lekin nakami se mayoos hokar koi shadeed iqdaam uthane ki zaroorat nahi jabkay doosri janib kamyaab honay walay talba ke liye Aala taleem ke mojood mawaqay aur un mein dakhlay ke liye rahnumai aur rahbari ki jaegi .

Shoba taleem ke Aala ohday daaron ney auliya-e-talba ko hidaayat di hai ke woh apne bachon par tawaquaat aur umedon ka bojh bilkul nah dalain aur khaas kar dasvin jamaat kamyaab honay ke baad inhen Aala taleem ke liye jabri tor par science ya rayazi ke courses mein dakhla lainay par majaboor na karen balkay unki taleemi qabliyat aur Aala taleem mein dilchaspi ke paish e nazar unki sahih rahnumai karen kyunkay dekha jaraha hai ke walidain apne bachon ko science aur riyazi ke courses mein dakhla lainay par dabao daaltay hain jo agay chal kar nah sirf unki nakami saabit hoti hai balkay do saal ka waqt aur paison ki barbadi hi saabit hoti hai . –YTN STAFF