Wednesday, May 14, 2025
HomeHyderabadSSC emtehanat, Containment Zone ke talba ke liye makhsoos kamray faraham karne...

SSC emtehanat, Containment Zone ke talba ke liye makhsoos kamray faraham karne par ghhor

Hyderabad: Coronavirus ki wajah se  mojuda sahet ke bohraan ke pesh-e-nazar muhkama taleem zair iltiwa SSC emthanat mein shirkat ke douran Containment ilaqoun se anay walay talba ke liye imtihani marakaz mein khusoosi kamray bananay ka mansoobah bana rahi hai.

Ye iqdaam markazi hukoomat ki janib se haal hi mein Containment Zones mein imtihani marakaz ki ijazat nah dainay ke baad kiya gaya hai. Pehlay Containment zone thay lekin ab sirf un afraad ke gharoun ya Apartments ko jinhein coronavirus ka  muzbet nateeja aaya ho inhen qaboo mein rakha ja raha hai. Agar aap Apartments ya makanaat ke talba emthanat mein haazir honge to khusoosi kamray rakhnay ka iradah rakhtay hain. Chunkay misbet mamlaat ki tadaad waqtan foqtan badal rahi hai, Khusoosi kamroun ke baaray mein hatmi faisla emthanat ke aaghaz se pehlay liya jayega.

Reyasti hukoomat ki janib se 8 June se 5 July tak dasvin jamaat ke emtehanat ke liye COVID-19 ke khilaaf ahteyati tadabeer ko yakeeni bananay mein koi kasar nahi choadi jarahi hai jin talba ko zukam ya khansi ya bukhaar hai, Un marakaz mein khusoosi kamroun ka intizam kiya ja raha hai. COVID-19 wabai bemari ke pesh e nazar aur high court ki hidaayat ke mutabiq mojooda 2530 marakaz ke ilawa mazeed 2500 marakaz tashkeel diye gaye hain, Jabkay emtehanat ke ineqad ke liye mazeed 26422 sarkari ohdedaroun ko mulazimat par mamoor kiya jayega.

Mehakma neh faisla kiya hai ke rozana marakaz ko saaf kiya jayega aur thermal screening ke baad hi taalib ilmoon ko jinhen chehray ke mask faraham kiye jayen ge. Talba ke mabain jismani faasla barqarar rakhnay ke liye 2 talba ke riwayati tarz e amal ke bar aks sirf ek bench tarz mein allot kiya jaye ga. Talba ko imthehaan shuru honay se ek ghanta qabal marakaz mein jane ki ijazat hogi.

Darin asna bachoun ke haqooq ki NGO Balala Hakkula Sangham ( BHS ) neh mehakma taleem par zor diya ke wo emtehanat ke ineqad par dobarah ghor karin kyunkay GHMC ki hudood aur riyasat ke deegar hissoun mein COVID-19 ke mamlaat abhi bhi paye jarahay hain.

BHS ke aizazi sadar Achiwat Rao ne kaha 8 June se shuru honay walay takreeban ek mah taweel emtehanat ka ineqad aag se khailnay se  kuch kam nahi hai. Agar mehakma taleem kisi bhi qeemat par emtehanat ke ineqad ke haq mein hai to behtar hai ke mazameen ku kam kiya jaye aur ek se ziyada intikhab walay jawabaat wale sawalname bhi hon jin ka jawab ek ghanta mein diya jasakay. Agar ye kiya jata hai to emtehanat 3 din mein mukammal kiye jasakte hain, Lekin sab se behtareen rasta emtehanat ka ineqad khatam kere huve tamam talba ko kamyaab kar dena chahiye. –YTN STAFF