Thursday, May 9, 2024
HomeIndiaSrinagar mein sarkari rahaish gaah ko khaali karne ka Omar Abdullah ney...

Srinagar mein sarkari rahaish gaah ko khaali karne ka Omar Abdullah ney kiya faisla

Srinagar: National Conference ke naib sadar aur sabiq wazeer ala Omar Abdullah nay budh ke roz kaha ke unhoun nay Srinagar shehar ke alla Security Gupkar Road ke ilaqay mein apni sarkari rahaish gaah ko khaali karne ka faisla kiya hai.

Omar Abdullah nay budh ke roz intizami secretary reyasti hukoomat ko likhay gaye ek khat mein kaha ke “Srinagar Lok Sabha seat ki numaindagi karne walay parliament ke mumbar ki hesiyat se un ki salahiyat ke mutabiq inhen G-1 ghar allot kiya gaya tha.

“2008 mein wazeer-e-aala muntakhib honay ke nateejay mein, Mulhiqa makaan ki tazaeen-o-araish ki gayi aur October -2010 se G-1 aur G-5 ke ihatay ko sarkari wazeer aala rahaish gaah ke tor par istemaal kiya gaya.”

Mein ny January 2015 mein wazeer aala ke ohday ki ijazat dainay ke baad rahaish gaah mein qiyam jari rakha, Kyunkay qawaneen ke mutabiq mujhe Srinagar ya Jammu mein rahaish barqarar rakhnay ki ijazat di gayi thi, Aur mein ny Srinagar mein rahaish barqarar rakhnay ka intikhab kiya tha.”

Kuch mah qabal Jammu Kashmir ke sabiq wazeer Alla ke ikhtiyarat mein tabdeeli ke nateejay mein ab khud ko is rahaish par ghair majaz qiyam mein pa raha hon, Kyun ke security o deegar bunyadon par mujhe Allotment ko baqaida bananay ki koi koshish nahi ki ja rahi hai, Taham yeh sorat-e-haal mere liye na qabil qubool hai.”

Budh ke roz apni Twit mein sabiq wazeer Alla ny kaha “Jammu o Kashmir intizamia ko mera khat, Mein October ke aakhir se pehlay Srinagar mein apne sarkari rahaish gaah khaali karoon ga aur ghhor talabb baat yeh hai ke pichlle saal media mein pesh ki gayi kahaniyon ke bar aks mujhe intizamia se is silsilay mein koi notice nahi mili balkay mein apni marzi se khud aisa kar raha hon.

Wazeh rahay ke maazi mein Jammu o Kashmir hukoomat ke banaye hue qawaid ke mutabiq sabiq wazraa Alla apne sarkari rahaish gaah mein reh satke hain. Article 370 ko mansookh karne ke baad, Jammu Kashmir mein wazraye aala ke is istehqaq ki ijazat dainay ke qaed ko khatam nahi kiya gaya.