Sunday, April 20, 2025
HomeLatest NewsSrilanka test team ka 10 saal baad Pakistan ka dobarah dora

Srilanka test team ka 10 saal baad Pakistan ka dobarah dora

Islamabad: Pakistan mein test series khailnay ke liye Srilanka ki cricket team Islamabad poanch gayi. Pakistan mein 10 saal baad kheli jaaney wali test  series ka aaghaz 11 decemeber se hoga, Jahan Srilanka team apne world test championship matches khailay gi. Dono teamon ke darmain pehla test charshumbe ko Rawalpindi mein pindi cricket stadium mein khela jaye ga, Jis ke baad dosra test match 19 se 23 decemeber tak Karachi ke national stadium mein hoga.

Pakistan pounchanay wali Srilankan team mein un ke fast bowler Lasith Malinga sath nahi kyunkay guzashta roz Srilanka ke cricket board ne elaan kiya tha ke dengue bukhaar ke baais wo team ka hissa nahi hon ge. Lasith Malinga ki jagah  Oshada Fernando ko jagah di gayi hai aur wo dosray match mein squad ka hissa honge. Is ke ilawa Srilanka ne sabiq captain  Dinesh Chandimal ko bhi apni team mein wapsi ke rastay ke liye ek mauqa faraham kiya hai taham team ki qayadat Dimuth Karunaratne karen ge.

Doosri janib Pakistan ki 16 rukni test team mein Fawad Aalam ki wapsi hui hai aur wo Azhar Ali ki qayadat mein team mein karkardagi dikhata nazar ayen ge. Wazeh rahay ke September mein Srilanka ki cricket team, 3 Oneday  aur 3 twenty 20 khailnay Pakistan aayi thi. Srilanka team un khiladion par mushtamil hai. Dimuth Karunaratne  ( captain ), Oshada Fernando, Kusal Mendis, Angelo Mathews, Dinesh Chandimal, Kusal Perera, Lahiru Thirimanne, Dhananjaya De Silva, Niroshan Dickwella, Dilruwan Perera, Lasith Embuldeniya, Suranga Lakmal, Lahiru Kumara, Vishwa Fernando, Kasun Rajitha, Lakshan Sandakan. jabkay aakhri test keliye mutabadil khiladi Oshada fernando hain. –YTN STAFF