Monday, April 21, 2025
HomeLatest NewsSrilanka Dhamakay, 13 Afraad Girftar, Musalmanoun Ko Nishana Bananay Ke Waqeat

Srilanka Dhamakay, 13 Afraad Girftar, Musalmanoun Ko Nishana Bananay Ke Waqeat

Colombo:  Srilanka mein Easter ke mauqa par hue silsila waar bomb dhamakoun ke ilzaam mein ab tak 13 afraad ko girftar kiya ja chuka hai. un dhamakoun mein taqreeban 290 afraad halaak aur 500 afraad zakhmi hue hain, dhamakoun mein isaai ibadat gaahon aur hotels ko nishana banaya gaya hai .

sri lankai hukkaam ne bomb dhamakoun ke fouran Aayed mukhtasir curfew paiir ki subah barkhast kardiya hai taham hunoz kisi bhi giroh ya tanzeem ne un munazzam dhamakoun ki zimma daari qubool nahi ki. dhamakoun ke baad mazhab ki bunyaad par fasadaat ka khatrah paeda hogaya tha, police ke mutabiq itwaar ki raat ko shumal maghribi ilaqay mein ek masjid par petrol bomb hamla kiya gaya jabkay musalman afraad ki 2 dukanon ko aag laganay ki koshish ki gayi .

doosri janib Srilanka ke wazeer-e-azam Ranil Wickremesinghe ne tasdeeq ki hai ke hukoomat ko pehlay hi ek ghair Maroof musalman giroh ki janib se isaai ibadat gaahon par mutawaqqa hamlay ki ittila mil gayi thi lekin unke wuzra ne inhen is ke mutaliq aagah nahi kiya .

Police zaraye ne francesi khabar-rasan idaray se kaha ke colombo mein 2 maqamat se ab tak 13 afraad ko hirasat mein liya ja chuka hai taham unhon ne mazeed tafseelaat nah batatay hue sirf itna kaha ke girftar mulzimaan ka talluq ek hi giroh se hai. unhon ne yeh bhi kaha ke 8 mein se kam az kam 2 dhamakay khudkush they jabkay ek makaan par chhapa maar kar dhamaka khaiz mawaad nakara bananay ki koshish mein bhi 3 police ohdedar halaak hue .

Silsila-war dhamake ke nateejay mein halaak honay walon mein 32 ghair mulki shaamil hain jin mein 5 hindustani, 3 Bartanwi , 2 turkey aur ek Portugal ka shehri hai jabkay 2 afraad ke paas Bartania aur America dono mumalik ka passport hai. Srilanka ke Daftar e Kharja ke hukkaam ke mutqabiq 9 beirooni afraad ke la-patah honay ki it-tila-aat hain taham 25 aisay afraad ki lashain bhi mojood hain jin ki ab tak shanakht nahi hosaki aur mumkina tor par woh bairooni mumalik ke bashinday hain .– YTN STAFF