Tuesday, May 7, 2024
HomeSliderSpain mein khilafat ke daur ke Islami hunar ki numayesh

Spain mein khilafat ke daur ke Islami hunar ki numayesh

Madrid: Spain ke shehar Cordoba nay Islami aur Muslim saqafat se lutaf andoz honay walay mazboot rishta ki akkaasi ek museum se ki hai jo 10 we sadi ke Arab khilafat ke douran mashhoor Islami fan ki numayesh karti hai. Andalusian shehar ke Masjid Cathedral se mehez chand minute ke faaslay par Omeyan Guadameci ka museum waqt ke sath mehlaat aur dastkaari ke pur kashish ahaef ki artistic taknik ke safar ki tarjumaani karta hai.

Jose Carlos Villarejo Garcia, Jo Spain Guadameci Islami fan mein mahaarat haasil karne walay aakhri fankar hain unhoun ney 2006 mein is museum numayesh ki bunyaad rakhi. Park Parque Joyero de Cordoba ke director aur museum mein mustaqil tor par anay walay, Bermejo Hernandez ney media se izhaar khayaal karte hue kaha ke Guadameci  Arab khilafat ke douran Islami fan hamari saqafat ka ek sutoon hai.

Jose Carlos ney gumshudaa aur bhool jaane wali kayi ashya ko mehfooz kiya hai. Yeh museum nadir ashya ki ghair mamooli tareekhi aur fankaranah qader pesh karta hai. Is baat ka ehsas karne se takleef hoti hai ke woh itni aasani se madoom ho chukay hain. Sahafi Jose Carlos  unhoun ney kaha hai ke is museum ka dora karne ki ek hi wajah hai ke Cordoba  shehar maazi mein apni ek shandaar tareekh rakta hai aur ek qadeem tahazeeb ko pesh karta hai.