Tuesday, May 14, 2024
HomeSliderSpain mein Factories kholnay ka faisla

Spain mein Factories kholnay ka faisla

Madrid: Duniya bhar mein Coronavirus ka shikaar ho kar marnay walay afraad ki tadaad 1 lakh 12 hazaar se badh gayi hai jabkay Spain ne waba mein kami anay par apni maeeshat ke kuch hissoun ko kholnay ka faisla kiya hai. Khabar rasan idaray ke mutabiq duniya ke 190 se zayed mulkoun mein ab tak 18 lakh se zayed afraad aalmi waba se mutasir huve hain. Virus se marnay waloun aur mutasireen ki sab se ziyada tadaad Americi shehrioun ki hai.

America mein guzashta 24 ghantoun mein daidh hazaar se zayed mareez Corona se halaak huve jabkay jumla tadaad 22 hazaar se badh gayi hai. Mutasirah afraad ki tadaad 5 lakh 55 hazaar se zayed hogayi hai. Europe mein samnay anay walay saadhay 9 lakh mareezoun mein se 77 hazaar se zayed halaak ho chuke hain. Italy mein halakatoun ki tadaad 20 hazaar ke lag bhag hai jabkay Spain mein 17 hazaar, France mein 14 hazaar 400 aur Bartania mein 10 hazaar 600 se zayed shehri Coronavirus se halaak huve hain.

Spain mein waba se halakatoun mein kami anay ke baad Spain ne peer ko baaz ilaqoun mein Factories ko dobarah kholnay ka faisla kiya hai. France aur America mein bhi Coronavirus se halakatoun mein kami aayi hai. Spain mein guzashta haftay halakatoun ki tadaad mein kami aayi taham itwaar ko ek baar phir izafah dekhnay mein aaya. Spain ke wazeer e azam Pedro Sánchez ne kaha hai ke abhi kamyabi bohat daur hai. Apne khitaab mein Spain ke wazeer e azam ne kaha hai ke hum sab dobarah se galioun mein niklny ko be taab hain lekin is ke sath hi hamari khawahish hai ke is jung ko jeeta jaye aur waba ke dobarah hamlay se bacha jaye.

Virus se buri terhan mutasirah Europe ke mulk Italy mein 3 haftoun ke baad guzashta dinoun halakatoun mein taizi se kami dekhi gayi hai. Alawa azeen China mein hukkaam ne kaha hai ke beroun mulk se anay walay 108 afraad mein Corona Test misbet aaya hai jo ek din mein is terhan ki sab se badi tadaad hai. China mein hukkaam ko khadsha hai ke beroun mulk se anay walay Corona mamlaat ki wajah se mulk mein Virus dobarah phail sakta hai. China ke National Health Commission ne kaha hai ke Roos se China ke ek soobay mein daakhil honay walay 49 cheeni shehrioun ka Corona Test misbet aaya hai.

World Bank ne khabardaar kiya hai ke Virus ke phelnay aur Lockdown ki wajah se janoobi Asia mulkoun ki maeeshat intahi badhaali ka shikaar ho rahi hai. World Bank ne janoobi Asia ke mulkoun ki muashi taraqqi ki sharah ke baarey mein kaha hai ke ab ye 1.8 se 2. 8 feesad tak rehne ka imkaan hai. Waba se qabal is khittay ki mayshtoun ki taraqqi ki sharah ke baarey mein 6.3 feesad badhhotri ke andazay lagaye gaye they. –YTN STAFF