Friday, March 29, 2024
HomeSliderSpain mein aatish fishaan ke laawe se saikdon ghar tabah khaufnak manazir

Spain mein aatish fishaan ke laawe se saikdon ghar tabah khaufnak manazir

Spain: Shimla maghribi Africa ke ek spanwi jazeere par aatish fishaan phatne ke baad laawe ke bade bade dariya dheere dheere magar samander ki taraf timtimate rahein jiske baad abaadi ke ilaaqon fauri khali karne se jaani nuqsan se bachne mein madad mili lekin aag ke lapait mein saikdon ghar aagaye.

Aatish geer surq laawa ki lambi dharon ki shakl mein sufeed dhuwe ke saath pahadiyon ke neeche phisalta raha aur unke sire kinaron se dhuwa nikalta raha jab usne gharon baghaat aur swimming pool ko tabah karta jo uske raaste mein aaye the.

Uper se guzarne wale hawai jahaz ki tarha ek musalsil ghanganahat qareebi kambri wija rej se shuroo huwi aur Sai pehar us waqt phoot padi jab do aatish fishaan ne roshan surq megma ko Hawa mein chodna shuroo kiya jiske baad chamakta Huwa lawa nadiyon ki tarha behne laga. Sciencetist haaliya dino mein hazaron chote zalzale ke darmiyan aatish fishaan kainri jazeeron ke jazeerein palma ke ilaaqe ki nigrani kar rahe hai aur hukkam ne fauri taur par taqreeban 5500 afraad ka taqliya kiya.

Laawe ne pahadiyon par 100 se Zayed gharon ko tabah kar diya. In mein se ek jerman jode methiyas aur anti ka makan bhi shamil hai jinki umrein bil tarteeb 65 aur 64 hai. Is jode ne kaha ke woh is ghar se pyar karte hain jis lamhe unho ne ise pehli baar dekha tha.

Unho ne mazeed kaha ke yeh ghar aatish fishaan aur in jazeeron ke mutabiq riwayati tameerati andaz mein banaya gaya aur yeh joda taqreeban 4 dihayon se yahan muqeem tha.

Monday 20 September 2021 ki subah sawere spain ke kainri mein la palma ke jazeerein par L pasu ke khareeb aatish fishaan ke phatne se lawaa behna shuroo huwa aur dekhte hi dekhte usne saikdon gharon ko jalakar raakh kar diya hai. Kainri jazayer aatish fishaan institute ke mutabiq laawa 700 meter (2300 fit) fee ghanta ki raftar se harkat kar raha tha. Auhdedaro ne kaha ke unhe tawaqqo hai ke yeh ghuroob e aftaab ke khareeb behar aoqyanus mein pohunch jaeiga jahan yeh dhamakon ka sabab ban sakta hai aur tezabi bhaap ke badal paida kar sakta hai.