Sunday, May 19, 2024
HomeTrending NewsSophia Masjid namazoun ke ilawa sayahat ke liye bhi khuli rahay gi

Sophia Masjid namazoun ke ilawa sayahat ke liye bhi khuli rahay gi

Istanbul: Turkey ki mazhabi Authority Dayanat ne kaha hai ke aaya Sophia Masjid namaz ke auqaat ke baad bhi ser ke liye khuli rahay gi. Report ke mutabiq chhutti sadi ke is tareekhi virsay mein maojood isayi mazhab ki yadgarin bhi apni jagah mojood rahen gi, Inhen wahan se nahi hataya jaye ga aur Namaz ke waqt inhen dhaanp diya jaye ga.

Wazeh rahay ke Turkey mein adalti faislay ne is tareekhi virsay ko Masjid bananay ki raah hamwar kar di hai. Yahan 24 July ko baqaida namaz ki adaigi ka intizam kiya jaye ga. Turkey ke tareekhi shehar Istanbul mein mojood aaya Sophia ki hesiyat ko 1934 mein ajaaeb ghar mein tabdeel kar diya gaya tha.

Is ki ye hesiyat guzashta jummay ko mansookh kar ke is virsay ka control Turkey ki mazhabi Authority Dayanat ke hawalay kar diya gaya tha. Turkey ke is adalti faislay se maghribi mumalik ki hukoomatoun, Roos aur isaai rehnumao ki taraf se muzammat ki gayi hai. Isaion ke mazhabi rehnuma Pope France is mauqa par kaha hai ke wo bohat pareshan hain.

Wazeh rahay ke UNESCO ki janib se tareekhi virsa qarar diye jaaney wali aaya Sophia ki pehchan 1453 mein Masjid aur is ke baad ajaaeb ghar ki thi jab ke is se qabal 1 hazaar saal tak Isaion ki ibadat gaah girja ghar ke tor par ye shanakht qaim thi. Turkey ki mazhabi Authority ne wazeh kiya hai ke aaya Sophia mein mojood Isaion ki yadgarin aur shabeehain namazoun ke auqaat ke douran dhaanp di jayen gi aur ye ibadat mein kisi qisam ki rukawat nahi banin gi.

Mazeed kaha gaya hai ke namazoun ke auqaat ke douran aaya Sophia Masjid ko mazhabi hesiyat se kisi qisam ki rukawat ka saamna nahi ho ga. Turkey mein anay walay sayaho ka khaas markaz rehne wala ye virsa haliya barsoun mein Islam se wabasta sar garmioun ka gehwaara bana raha hai. Turkey ke sadar Rajab Tayyab Erdogan ney 2018 mein is imarat mein Qurani ayaat ki talawat ki thi. Sadar Erdogan ney kaha tha ke aaya Sophia mein 24 July ko dobarah namaz ka baqaida aaghaz kiya jaye ga. Unhoun ney mazeed kaha hai ke ye imarat tareekhi virsa ki hesiyat se ghair musalamoun sameit sab ke liye khuli rahegi.