Sunday, May 19, 2024
HomeTrending NewsSophia Masjid maamla, Turkey ko Roos ka khamosh intibah

Sophia Masjid maamla, Turkey ko Roos ka khamosh intibah

Cairo: Roosi ohdedaroun aur kaleesaon ke wifaq ne Turkey se mutalba kiya hai ke wo Istanbul mein waqay qadeem girja ghar aur UNESCO ki janib se tareekhi virsa qarar diye janay wali imarat aaya Sophia ko Masjid mein tabdeel karne se mutaliq ahthyat bartay.

Turkey ki ek aala adalat mein ye dalail chal rahay hain ke kya duniya ke tameeri ajaaeb mein se ek yani aaya Sophia jis ki mojooda hesiyat ajaaeb ghar ki hai, Usay Masjid mein tabdeel kiya ja sakta hai ya nahi. Is iqdaam se maghrib aur isaai baradri ke sath kasheedgi mein izafah ho sakta hai.

Wazeh rahay ke Turkey ke aala tareen intizami idaray council of state ney aaya Sophia ko Masjid mein tabdeel karne se mutaliq faisla moakhir kar diya tha. Media ke mutabiq anay walay dinoun mein faislay ki tawaqqa ki ja rahi hai.

Roos mein kaleesaoun ke wifaq ke sarbarah sardar Kirill ney kaha hai ke wo is iqdaam se gehri tashweesh mein mubtala hain. Orthodox  church ke rehnuma ney ek bayan mein kaha aaya Sophia ke liye khatrah poori isaai tahazeeb aur hamari rohaniyat aur tareekh ke liye khatrah hai.

Unhoun ney kaha aaj qadeem kaleesa ko maan-ne walay har Roosi ke liye aaya Sophia ek azeem isaai ebadat ka gah hai. Unhoun ney Turk hukoomat se mohtaat rehne ki Appeal ki. Unhoun ney kaha ke tareekhi imarat ki mojooda ghair janabdaar hesiyat mein raddo-baddal Roosi awam ke liye gehray dard ka baais hoga.

Kirill  ke tarjuman Dmitry Peskov  ne kaha ke tareekhi maqam ka mustaqbil Turkey ka androoni masla hai taham unhoun ne mazeed kaha umeed hai ke aalmi saqafati virsay ke tor pay aaya Sophia ki hesiyat ko bhi mad-e-nazar rakha jaye ga. Unhoun ne kaha ke sabiq girja ghar ek aalmi shahkaar tha jo Roosyon ke liye muqaddas qader rakhta hai. Naib wazeer kharja Sergei Vershinin ne sahafioun se kaha hai ke Roos ko umeed hai ke aaya Sophia ki aalmi ahmiyat ko mad-e-nazar rakha jaye ga.

Aaya Sophia ko pehli baar chhutti sadi mein isaai bazan-teeni saltanat mein markazi girja ghar ke tor par taamer kiya gaya tha lekin 1453 mein asmanyoun ki janib se Constantinople ki fatah ke baad usay Masjid mein tabdeel kar diya gaya tha. Is girja ghar ko Masjid mein tabdeel karne ki tehreek ko Turkey ki hukmaran jamaat justice and development party ( AKP ) ki janib se mazhabi aur qadamat pasand voters ko apni janib mutwajjah karne ka ek harba qarar diya ja raha hai aur is amal ko tanqeed ka nishana bhi banaya ja raha hai, Imarat ki hesiyat aur is ke mustaqbil ka taayun AKP ki intekhabi muhim ka ek ahem mauzo tha. Turkey ki seculer jamaatoun aur aalmi baradri ki janib se is muhim ki mukhalifat ke bawajood mulk ke qadamat pasandoun ki janib se is girja ghar ko Masjid mein tabdeel karne ka mutalba kiya ja raha hai.