Sunday, May 19, 2024
HomeLatest NewsSophia ko dobarah Masjid bananay ka elaan

Sophia ko dobarah Masjid bananay ka elaan

Ankara: Turkey ki ek adalat ne 1934 mein hukoomat ka ek hukum mansookh kar diya hai jis ke tehat Istanbul ki qadeem imarat aaya Sophia ko ajaaeb ghar mein tabdeel kar diya gaya tha lekin ab wo Masjid mein tabdeel kar di gayi hai.

Khabar-rasan idaray ke mutabiq Turkey ki aala intizami adalat council of state ne maazi mein kiye gaye hakoomati faislay ko ghair qanooni qarar diya hai. Aalmi satah par is iqdaam ke khilaaf intibah ke bawajood is adalti faislay se aaya Sophia ko dobarah Masjid mein tabdeel karne ki raah hamwar ho gayi hai.

Turk sadar Recep Tayyip Erdogan ne UNESCO ke aalmi tareekhi virsay mein shaamil is maqam ko dobarah Masjid mein tabdeel karne ki tajweez di thi. Aaya Sophia masihi bazan-teeni aur musalman saltanat Osmania dono ke liye bunyadi ahmiyat ki haamil rahi hai.

Aaya Sophia duniya ki mashhoor tareen imaartoun mein se ek aur sayaho ke liye intahi kashish ki haamil tareekhi imarat hai. Turkey mein sayah sab se ziyada is jagah ko dekhnay atay hain. 1400 saal qadeem imarat Turkey ki seculer bunyadain mehfooz bananay ke hamioun aur sadar ki khwahisaat ke darmain kashmakash ka markaz hai. Adalat ka faisla anay se pehlay hi Yunnan, Roos aur Americi hukkaam is par tashweesh ka izhaar kar chuke hain. Roos mein mashriqi Orthodox kaleesaon ke wifaq ke sarbarah ne kaha tha ke inhen Turk hukoomat ke is iqdaam par tashweesh hai.

Wazeh rahay ke aaya Sophia taamer ke baad se kayi sadiiyoun tak mashriqi Orthodox kaleesa ke tor par istemaal ki jati rahi hai. Roosi mazhabi rehnuma ne kaha ke aaj qadeem kaleesa ke har Roosi peirokaar ke liye aaya Sophia ek azeem isaai ibadat gaah hai aur is ki mojooda hesiyat mein koi bhi radd o badal Roosi awam ke dukh ka baais hoga.

Unhoun ney Turk hukoomat se darkhwast ki thi ke wo is muamlay mein ahthyat se kaam len. UNESCO ney bhi ek bayan mein is iqdaam par tashweesh ka izhaar kiya tha. Yunnan ki wazeer saqafat Lina Mendoni  ney is adalti faislay ko mohazab duniya ke liye khuli ishtial angazi qarar dete huve kaha aaj ka faisla, Jo sadar Erdogan ki siyasi khawahish ka nateeja hai, Mohazab duniya ke liye khuli ishtial angazi hai, Jo is yadgar ko ittehaad ki alamat samajhti aur is ki munfarid khasusiyat ko janti hai.

Is yaad gaar imarat ko 537 mein taamer kiya gaya tha aur ye bazan-teeni tarzِ taamer ke shahkaroun mein se ek hai. Ab tak ye imarat mutadid baar apni hesiyat tabdeel kar chuki hai. Sab se pehlay usay bator mashriqi Orthodox  girja ghar istemaal kiya jata raha. Phir 1204 mein saleebiyoun ne usay Roman catholic cathedral mein muntakil kar diya. 1261 mein usay dobarah Orthodox  charch banaya gaya. Phir jab 1453 mein Osmania ne Istanbul ko fatah kiya to is imarat ko Masjid mein badal diya gaya.

Mashhoor Osmania maahir taamer sinan ne is imarat ke gunbad ke sath 4 minar tameer kiye aur Masjid ke andar tasaveer hata kar un ki jagah Islami khatati ki thi. 1934 mein jadeed Turkey ke baani Mustafa Kamaal Pasha ne usay ajaaeb ghar ki hesiyat day di.

Mojooda Turk sadar shuru hi se usay Masjid bananay ke liye pur azm they. Saal 1994 mein jab wo Istanbul ke naazim ka intikhab lad rahay they to unhoun ne is imarat ko namaz ke liye kholnay ka wada kiya tha jabkay 2018 mein wo yahan Quran ki talawat bhi kar chukay hain.

UNESCO ki janib se is imarat ko 1985 mein aalmi tareekhi virsay mein shaamil kiya gaya. Har saal lakhoon sayah aaya Sophia ko dekhnay ke atay hain. Ye 2019 mein 38 lakh sayaho ke sath Turkey ka maroof tareen maqam tha. Haliya barsoun ke douran is museum mein mazhabi sar garmioun mein izafah dekhnay mein aaya hai.