Tuesday, May 14, 2024
HomeSliderSoobay Qatif par mukammal pabandi ka Saudi Arab ka elaan

Soobay Qatif par mukammal pabandi ka Saudi Arab ka elaan

Riyadh: Shiah aksariyat walay mashriqi Saudi soobay Qatif mein Coronavirus ke 11 waqeat samnay anay ke baad Saudi hukkaam ne pooray soobay ko Quarantine mein rakhnay ke elaan ke sath ilaqay ko mukammal tor par Lockdown kardiya hai. Hukkaam ke is iqdaam ko imtiazi sulooq qarar day kar muqami logoun ne ahtjaj kar rahay hain.

Saudi hukoomat ka istedlal hai ke Coronavirus ko phelnay se roknay ke liye ye qadam utha ya gaya hai jo earzi noiyat ka hai. Qatif mein aksariyat Shiah abadi par mushtamil hai jahan hukoomat ke khilaaf aawazian uthti rehti hain aur samjha jata hai Corona se mutasir logoun mein se beshtar haal hi mein hamsaaya mulk Iran se ziyarat karkay lautay thay.

Saudi wizarat dakhla ne sarkari News Agency ke zareya jari bayan mein kaha hai ke Coronavirus ke sabhi naye 11 mamlaat chunkay Qatif mein hi samnay aaye hain is liye wahan anay jane par taa hukum sani pabandi laga di gayi hai. Saudi hukkaam ab tak mulk mein Coronavirus se 234 afraad ke mutasir honay ki tasdeeq kar chuke hain. China aur Italy ke baad Iran bhi buri terhan is waba ki zad par hai.

Coronavirus ke sabab Saudi zimma daraan ne Mecca Mukaramah mein Umrah o Tawaaf par bhi waqti tor par pabandi laga di hai aur Madina Munawwara mein raat ke waqt Masjid Nabavi ﷺ mein baday mazhabi ijitmaat munaqqed karne ki ijazat nahi. Jahan tak Qatif ka talluq hai to wahan ki Shiah abadi ne ilzaam lagaya hai ke Corona ki aadd mein un ke sath imtiazi sulooq ho raha hai. Awam ka mutalba hai ke inhen bhi degar Suadi shehrioun ki terhan tamam aazadyan di jayen. Wazeh rahay ke 2011 mein baher Arab tehreek ke douran jis ne Maghribi Asia aur Africa ke kayi mumalik mein inqilab barpa kar diya tha, Saudi Arab ke is Shiah ghalbe walay soobay Qatif mein bhi hukoomat ke khilaaf ehtijaj ka tufan utha tha aur loog sadkoun par nikal aeye they.

Agar is waba par itminan bakhash tareeqay se aindah dinoun mein qaboo nahi paaya ja saka to 2020 ke Hajj par bhi is ke asraat muratab ho satke hain. Hajj ke mauqa par jahan duniya bhar ke koi 50 lakh farzandan toheed yakja hotay hain, Coronavirus se mutasir mumalik ke aazmin Hajj ko safar Hajj se roka gaya gaya to ek ajeeb soorat e haal peda ho sakti hai. –YTN STAFF