Friday, April 19, 2024
HomeEntertainmentSonu Sood ne bachon ki tibbi madad ke liye ilaaj India ka...

Sonu Sood ne bachon ki tibbi madad ke liye ilaaj India ka muta-arif kardiya

Hyderabad: Bollywood Films mein Villain ka kirdaar ada karne walay Sonu Sood lockdown ke douran ghareeb awam ke masihaa saabit hue jinhon ne ghareebon ke liye anaaj aur ghiza faraham karne se leker inhen apne aabadi maqamat tak pohanchanay mein sawaryon ka intizam bhi karwaya hai Sonu Sood ne apne insaan dost kamon ko yahin tak mehdood nahi rakha balkay ab unhoun ne bachon ki tibbi nighdasht aur ilaaj muawnat ke liye ilaaj India Initiative ka aaghaz kiya.

Bollywood adakar Sonu Sood ne bachon ki tibbi dekh bhaal aur ilaaj ke liye taawun badhaane ke liye Ilaaj India shuru kiya. Ilaaj India ek Helpline number hai jo Ketto.org, Asia ke sab se ziyada mulahiza kardah aur qabil aetmaad hujhoom funding platform ke zareya tayyar kiya gaya hai jis ka maqsad bachon ki amraaz mein madad karna hai.
Is iqdaam par tabsarah karte hue Sonu Sood ne kaha ek andazay ke mutabiq 2019 mein 8 lakh bachay faut hue, Jo kisi dosray mulk ki nisbat ziyada hain. Sarkari dawakhanon ki na kafi tadaad aur Health Insurance ki mehdood coverage logon ku apni sehat ki dekh bhaal ke liye bhaari akhrajaat uthany par majboor karti hai. Ilaaj India Helpline number mareezon ko un ke tibbi ilaaj aur surgery ke liye maali madad faraham kere ga.

Sonu Sood ne mazeed kaha hai ke jin mareezon ko kisi bhi tibbi ilaaj, Transplant ya Surgery se guzarna padta hai woh 02067083686 par misscall kar saktay hain aur Ketto team aglay iqdamaat ke liye mareezon tak puhanche gi.

Yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke Bollywood adakar Sonu Sood ne lockdown ke douran phansay mohajir mazdooron ko un ke ghar wapas jane mein sawaryon ka intizamaa karne ke liye ilawa inhen khanay peenay ki ashya faraham ki thi. Is ke baad unhoun ne un ke liye mulazimat ka intizam karne ke iqdamaat bhi kiye. Sonu Sood ne 30 July ko apni saalgirah ke mauqa par 3 lakh mulazimaton ka elaan kiya tha. Ab unhoun ne AEPC ke sath shiraakat daari karkay 1 lakh afraad ko mulazimat dainay ka wada kiya hai. Is baat ki ittila Sonu ne apne Twitter handle par di thi.