New Delhi : Congress ki sadar Sonia gandhi ne Madhya pradesh mein congress ke wazeer-e-aala kamal nath aur Jyotiraditya Scindia , ke beech jari ikhtilafat ke mad-e-nazar dono qaideen ko riyasat ka party sarbarah muntakhib karne se mutaliq baat karne ke liye dono qaideen ko alag alag din talabb kiya hai.
Sonia gandhi ki janib se mangal ko scindia ko bulaya gaya hai, jabkay kamal nath ek din baad chaharshambe ke din Sonia gandhi se milinge.
Zaraye ke mutabiq Sonia gandhi jo Madhya pradesh mein ek aisa party sarbarah muntakhib karna chahti hain, jisko kamal nath aur scindia ki himayat haasil ho, lekin fil haal yeh na mumkin nazar aata hai.
Madhya pradesh mein pichle kuch dinon se riyasat mein party ke sarbarah ke intikhab ko leker kamal nath aur scindia mein sard jung chal rahi hai aur scindia ke haami chahtay hain ke scindia ko riyasat mein party ka sarbarah banaya jaye.
Zila datya ke congress chief Ashok Dengi ne mutnabba kiya hai ke agar scindia ko reyasti congress committee ka sarbarah nahi banaya gaya to woh istifa day denge.
Ashok ne kaha ke kuch reyasti congress qaideen ko scindia ki maqboliat ko hazam karne mein mushkil aa rahi hai aur inhen Madhya pradesh se door rakhnay ki koshish kar rahay hain.
Riyasat ki siyasat mein ek aur shakhsiyat DG vijay singh, Madhya pradesh mein scindia ke congress chief ban’nay ke khilaaf hain, jis se kamal nath ka kaam asaan ho gaya hai.
Wazeh ho ke haal hi mein Jyotiraditya Scindia ki janib se party chodne ki dhamki dainay ke baad scindia aur kamal nath ko Sonia gandhi ki janib se Dehli talabb kiya gaya hai. dono ke darmiyan riyasat mein party sarbarah ke intikhab se mutaliq ikhtilafat chal rahay hain. kamal nath apni pasand ka party sarbarah chahtay hain aur scindia party sarbarah ban’nay ki daudh mein shaamil hain. –YTN STAFF