Monday, May 6, 2024
HomeIndiaSonia gandhi ne diwali ke mauqe par narinder modi hukoomat ki khamiyoun...

Sonia gandhi ne diwali ke mauqe par narinder modi hukoomat ki khamiyoun ko ujagar kiya

New Delhi: Congress ki uboori sadar Sonia gandhi ne haftay ke roz yahan narinder modi hukoomat ko kisanon ke baare mein unkay ”Dharam raj“ki yaad dilatey hue kaha ke woh is ki policiyon ki wajah se pareshani ka shikaar hain, aur inhein kaali diwali mananay par majboor kiya gaya hai .

Aik bayan mein Sonia gandhi ne kaha ke Bhartiya janata party ne Iqtidaar mein anay ke baad kisanon ko dhoka dena shuru kar diya. unhon ne kashtkaaron ko kam soort price ( MSP ) mein izafah karkay fasloun par kharch ki jaanay wali raqam par pachaas feesad ziyada munafe dainay ka wada kiya, lekin har saal BJP hukoomat ne kisanon se Crodoun rupiye loot kar chand zakheera andozon ke mafaad mein ka meem kya“.

Sonia ne kaha ke ”‏poorey mulk mein kisanon ki haalat par BJP hukoomat par tanqeed  karte hue kaha ke ”Kisnoun  ko roshni ke tehwar ke mauqe par siyah diwali mananay par majboor kya jata hai “. zarayi mandyoun ki misaal detey hue congress ki rehnuma ne kaha ke ”in mein se beshtar MSPs ke muqablay mein 8 se 37 feesad kam par mulk bhar mein Khareef ki faslein khareed rahay hain.

Unhon naay kaha ”ausatan Kharif faslun ko MSP se 22.5 feesad kam mein bazar mein farokht kya ja raha hai. unhon naay mazeed kaha ke dalain, soya bain, Sooraj mukhi, Baajra  kaasht karne walay kisanon ko un ki pedawar ki qeemat nahi mil rahi hai. unhon naay mazeed kaha ke dhaan ke kashtkaron ko harasan kiya ja raha hai aur nami ki miqdaar ki wajah se un ki fsloun ko 18, 35 rupiye fi kuntal MSP se neechay khareeda ja raha hai .

Congress ki uboori saddar Sonia gandhi naay kaha ke ”2019-20 mein taqreeban 140 million tan Kharif fasal ki pedawar mutawaqqa hai. unhon naay kaha ke ”Chunke zarayi bazarein am SP ke neechay 22.5 feesad fasal khareed rahi theen, is liye kisanon ko pachaas hazaar crore rupiye ka nuqsaan uthana pada .

Sonia gandhi naay, trecktaron, khadon aur deegar zarayi cheezon par GST laganay par tanqeed ki, aur kaha ke is se kisanon ka boojh barh gaya hai. yahan taq ke diesel ki qeemat mein bhi musalsal izafah ho raha hai. unhon naay hukoomat se mutalba kiya ke kisanoun ko harasan karna band karein,aur khaitoun ki pedawar ki sahih qeemat ko yakeeni banayen.