Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaSonia gandhi ne Dehli congress ke sabiq sarbarahoun ka ijlaas talab kiya

Sonia gandhi ne Dehli congress ke sabiq sarbarahoun ka ijlaas talab kiya

New Delhi : Qaumi dar-ul-hukoomat Delhi mein assembly intikhabaat ke liye mehez 5 mah baqi hain. congress ki uboori sadar Sonia gandhi ne qayadat ke maamla par tabadlah khayaal ke liye jumeraat ki shaam sabiq city unit ke sarbarahon ka ijlaas talab kya hai, kyunkay Sheila dixit ki mout ke baad party sadar ka ohda khaali hai.

Congress ke zaraye ke mutabiq, Delhi congress ke 4 sabiq sarbarahon, Arvinder Singh Lovely, Ajay Maken, Jaiprakash Agarwal aur  Subhash Chopra se kaha gaya hai ke woh Sonia gandhi ki janib se munaqqid ki gayi meeting mein shareek hon. unhon ne kaha ke imkaan hai ke congress chief nai Dehli unit ke sarbarah ke muamlay par tabadlah khayaal karengi. jo Sheila dixit ki mout ke baad 20 july se khaali hai.

Zaraye ne bataya ke meeting mein naye city incharge ke baray mein tabadlah khayaal kiya jayega. kyunkay P.C. Chacko ne party qayadat se appeal ki hai ke woh inhen faraiz se farogh karen. mangal ke roz chandni chowk se aam aadmi party ke rukan-e-assembly Alka Lamba ne Sonia gandhi se mulaqaat ki, aur yeh qiyaas kiya jaraha hai ke woh assembly intikhabaat se qabal azeem ittehaad mein shaamil hosakti hain. 1998 se 2013 tak musalsal 3 baar qaumi dar-ul-hukumat par Bar-sir Iqtidaar rehne wali congress, apna maqam bananay mein nakaam hai. doosri taraf BJP ne pehlay hi shehar bhar mein apni intikhabi muhim shuru kar di hai.

Delhi BJP unit ke sarbarah Manoj Tiwari, jo shumal mashriqi Delhi parlimani halqa ki numaindagi karte hain aur BJP ke senior rehnuma Vijay Goel assembly intikhabaat ke liye Dehli mein kayi programon ka ineqad kar rahay hain, jo aglay saal ke awail mein munaqqid honge.

Congress ne 2013 mein hue intikhabaat mein aam aadmi party se shikast khayi thi aur 2015 ke assembly intikhabaat mein jab aap ne 70 mein se 67 nishistoun par kamyabi haasil ki thi, to congress ka mukammal safaya hogaya tha. aur BJP ne 3 nishistoun par kamyabi haasil ki thi. –YTN STAFF