New Delhi : Congress ki uboori sadar Sonia gandhi aur sabiq wazeer-e-azam Dr Manmohan Singh ne peer ko dar-ul-hukoomat ke Tihar jail mein band sabiq markazi wazeer-e-khazana P.Chidambaram se mulaqaat ki.
CBI ne Chidambaram ko INX media muamlay mein guzishta 21 august ko giraftar kiya tha, jiske baad adalat ne 5 September ko inhen Tihar jail bhej diya tha.
Yeh pehla mauqa hai jab Sonia gandhi aur Manmohan Singh jail mein mojood kisi party qaied se mulaqaat ke liye jail ke ahatay mein gay. party rehnumao ke mutabiq congress ke senior rehnumao ki mulaqaat adhay ghantay tak jari rahi. Sonia gandhi aur Manmohan ke alawa Chidambaram ka beta Karti Chidambaram bhi jail ke ahatay mein mojood tha.
Is mulaqaat ke baad, Chidambaram ne, unke ahal-e-khanah ke zareya party qayadat se, unse mulaqaat karne ka shukriya ada kiya aur kaha ”jab tak congress mazboot aur bahadur hai, mein bhi mazboot aur bahadur rahonga“. Chidambaram Tihar jail ke jail number 7 mein band hain, jo muashi mujrimoun ke liye hai.
Wazeh hoke kuch din qabal congress ke senior leader Ghulam Nabi Azad aur Ahmed patel ne bhi Tihar jail mein Chidambaram se mulaqaat ki thi. congress ne BJP ki zair-e-qiyadat markazi hukoomat par siyasi intiqam lainay ka ilzaam lagaya hai. –YTN STAFF