Saturday, May 18, 2024
HomeHyderabadSonay Se 2 Ghantay Pehlay Khana Khayen Ya Phir Kayi Bemariyoun Ke...

Sonay Se 2 Ghantay Pehlay Khana Khayen Ya Phir Kayi Bemariyoun Ke Liye Tayyar Ho jaayein

Hyderabad: Shehar-e-Hyderabad mein pait ke ilaaj ke liye Syed Ibrahim Hasan ek Maroof naam hai jo kay gas ke amraaz ke ilaaj ka khaas shoba hai isse talluq rakhtay hain. shaam ke auqaat unke ghar king kothi par mareezon ki badi tedad pait aur deegar amraaz ke ilaaj ke liye mojood rehti hai. Dr Hasan ilaaj ke liye taiz mizaaj lekin mahir Dr tasawwur kiye jatay hain  unke ilaaj karne ka tareeqa yeh hai ke woh apne mareezon ko ilaaj ke douran kattar parhaiz karne aur khanay mein sirf tarkariyan khanay ka mahswara dete hain Dr Hasan ki hyderaabadi awam mein taiz mizaaj lekin pait ke amraaz ke mahir Dr ki  shanakht ban chuki hai aur khaas kar sone se do ghante pehlay raat ka khana khalene ka inka mahswara sab ki zabanon par rehta hai lekin haliya tahaqeeq ne wazeh kardiya hai ke raat sonay se 2 ghantay pehlay khana khalena kayi ek amraaz se mehfooz rehne mein kaledi rule ada karta hai .

Haliya tahaqeeq mein yeh inkishafaat kiye gaye hain ke raat der se khana khanay ki aadat heart attack ka khatrah badhata hai aur sath hi sonay se pehlay khana sirf dil ke liye hi nuqsaan da nahi hota balkay yeh deegar bimarion ka khatrah bhi badhata hai. dar haqeeqat tibbi mahireen sonay se 2 ghantay pehlay khana khanay ka mahswara dete hain taakay neend mutasir nah ho aur darjanon amraaz se mehfooz hon .

Raat ko sonay se pehlay kuch khanay se blood sugar badhaane ka baais bhi banti hai. is ke alawa is aadat ke deegar kayi nuqsanaat mojood hain lehaza hyderabadi ke liye ab zurori hai ke woh mareez honke sahet mand Dr Syed Ibrahim  ke sonay se 2 ghantay pehlay raat ka khana khalene ke mashwaray par amal karna sahet ko barqarar rakhnay ke liye zarori hai .

Tahaqeeq mein daryaft kiya gaya ke jo log sonay se kuch der pehlay khana khatay hain un mein jismani charbi aur wazan jald khanay walon ke muqablay mein ziyada hota hai. mohaqiqeen ne kaha hai ke khanay ka waqt jismani wazan aur harmones par bohat ziyada asraat muratab karta hai jabkay metabolism bhi sust hota hai.

Jo log raat gaye khanay ke aadi hotay hain un mein seenay ki jalan ki shikayat bhi deegar se ziyada hoti hai, seenay mein jalan is waqt hoti hai jab maiday mein mojood acid ghizai naali mein oopar ajata hai. tibbi mahireen ke mutabiq jin logon ko seenay mein jalan ki shikayat rehti hai inhen sonay se pehlay khanay se garaiz karna chahiye, yeh aadat pait phoolnay ka khatrah bhi badhati hai .

Raat mein der se khanay se blood pressure ki satah bhi badhti hai khususan woh afraad jo pehlay hi fashaar khoon ke aarze ka shikaar hon. Ek tahaqeeq mein daryaft kiya gaya ke high blood pressure ke mareez agar sonay se kuch der pehlay khana khatay hain, un mein aadhi raat ko blood pressure level mazeed badh jata hai. mohqiqeen ne kaha hai raat mein der se khana blood pressure ziyada namak wali ghiza se bhi ziyada badhata hai, iski wajah yeh hai ke sonay se kuch der pehlay khanay se jism chowkana rehta hai aur tanao ka baais ban’nay walay harmones ziyada banata hai jis se blood pressure badhta hai .

Raat ki achi neend sahet ke liye bohat zarori hoti hai lekin raat der se khana aap ko bistar par karvatein badalne par majaboor kar sakta hai. aisi ghizain jin mein Caffeine moujood ho jaisay icecream, Coffee, chai ya chocolate waghera neend par asr andaz hoti hain, kyunkay unke istemaal se zehan ziyada mutharrik hojata hai, ziyada charbi ya cheeni wali ghizain bhi jism ko is waqt tawanai deti hain jab woh sonay ke liye tayyar hota hai .

Raat mein der se kuch halka phulka khana mun ki sahet ko bhi mutasir karsaktha hai, khaas tor par khushk mewa ya aisi cheez jo mun mein chipak jaye kyunkay is se danoton ko nuqsaan pohanchana hai. danoton par chipaknay wali ghiza danoton par der tak chupkay rehti hain agar kabhi aisa karlen to sonay se pehlay achi tarha kulliyan aur khalal karen .

Har Insaan mein ek lamha hota hai jo makhsoos kaam jaisay neend aur jaagne ke auqaat ka taayun karta hai, yeh ghadi hamaray jism ko majaboor karti hai ke yeh waqt khana hazem karne ka hai, ye waqt Aram karne ka hai aur jab is qudrati amal ko mutasir kiya jata hai mukhtalif jismani afaal bhi mutasir hotay hain .

Kayi ek haqayeq aur Dr ki raye ne saabit kardiya hai ke raat ka khana sonay se kam-az-kam 2 ghantay pehlay khalena chahiye aur yeh bhi zarori hai ke raat jald sona aur subah jald uthna bhi sahet mand zindagi ke liye zarori hai lekin Hyderabadiyoun ka mizaaj ban chuka hai woh inka raat ka khana 11 bajey se pehlay nahi hota aur woh aksar dawatoun mein raat ka khana ek bajey ke aas paas khatay hain lehaza ab hamein sirf apni sahet behtar rakhnay ke liye raat der se khanay aur der se sonay ki aadaat tark karte hue subah Sadiq uthnay ke islami tareeqon ka apna na hoga .– YTN STAFF