Monday, May 20, 2024
HomeIndiaSocial Media Per Girift Mazboot Karne Qanoon Bananay Par Ghour

Social Media Per Girift Mazboot Karne Qanoon Bananay Par Ghour

New Delhi: Lok Sabha mein social media par farzi News ka maamla uthaya gaya aur is par rok laganay ka mutalba kiya gaya. congress ke Vijay Singh ne aewaan mein waqfa sifar ke douran yeh maamla uthatay hue kaha ke is tarhan ki khabroun se samaaj mein badnazmi phail rahi hai aur log aapas mein taqseem ho rahay hain. hukoomat ko farzi khabroun ko phelnay se roknay ke liye sakht qawaneen bananay chahiye. unhoun ne kaha ke social media ko qaboo mein rakhnay ke liye ek Regulatory tashkeel di jani chahiye. unki is tashweesh se chairman M Venkaiah naidu ne bhi ittafaq kiya.

BJP ke Vinay Sahasrabuddhe ne online gaming ka maamla uthaya aur kaha ke bachay is ka shikaar hotay ja rahay hain. unhoun ne kaha ke hukoomat ko online gaming ko qaboo mein karna chahiye. is se bachon ke ravayye mein tashadud paeda ho raha hai. YSR Congress party ke Vijay Sai Reddy  ne kaha ke Tirupati ki qaumi sansikrat Vidyapet ko markazi idaray ka darja diya jana chahiye. yeh idaray aala taleem ke sabhi miyaar pooray karta hai aur Sanskrit ke farogh mein qabil-e-zikar shiraakat daari kar raha hai .

AIADMK ke N.Gokul Krishnan ne kaha ke Paducheru¸ ke taleem ke markazi idaron mein muqami taalib-e-ilmoun ko 25 feesad tahaffuzaat dena chahiye. un taleemi idaroun ko muqami hukomatain mukammal taawun deti hai aur muqami wasail faraham karti hain. janta dal united ke Ramnath Thakur ne coaching idaron ki mann maani fees aur nizaam ka maamla uthaya aur kaha ke un par qabu pane ke liye Regulatory tashkeel di jani chahiye .

Communist Party of India (Marxist) ke TK Rang rajan ne kaha ke railway ka kaam kaaj khangi companiyon ko saumpa jaraha hai jin mein reservation ka intizam nahi hai. is se OBC , SC aur ST zamray ke awam ke liye mulazimatoun ke mawaqay kam ho rahay hain. hukoomat ko khangi shobay mein tahafuzat ka nazam karna chahiye.

Samaaj waadi party ke Vishambhar prasad nashaad ne Bundelkhand mein khushk saali ka maamla uthaya aur kaha ke kisaan khudkushi karne par majaboor ho rahay hain. kisanon ki faslun ko aawara gaaye aur bail tabah kar rahay hain jisse inhen sakht pareshani ka saamna karna padh raha hai. BJP ki Saroj panday ne yoga ki taleem ko laazmi bananay ka mutalba kiya aur kaha ke is se jadeed tarz zindagi ki mushkilaat se nimatnay mein madad mileygi . –YTN STAFF