Sunday, April 28, 2024
HomeJurmSocial Media par khawateen ko harasan karne ke waqeat mein izafah

Social Media par khawateen ko harasan karne ke waqeat mein izafah

Hyderabad: Social Media is waqt hamari zindagi ka ek ahem juz ban chuka hai aur is ke jahan darjanon fawaid hain wahein is ke nuqsanaat se bhi inkaar nahi kiya ja sakta hai aur khaas kar khawateen aur bachay is ka aasaan nishana bhi ban jatay hain. Darin asna Social Media par khawateen ko harasan karne ke waqeat mein izafah darj kiya gaya hai. Social Media par khawateen ko harasan kiye jane ki shikayaat 2014 se 2019 tak 5 saal mein shikayaat ka 40 feesad se badh kar 2020 mein 63 feesad hogayi hain woh bhi abhi saal khatam honay se pehlay hi yeh izafah darj kiya ja chuka hai.

Khawateen ki Safety Wing ( WSW ) ke mutabiq harasan karna bunyadi tor par WhatsApp, Facebook aur Twitter ke zareya hai, Jabkay Mobile Phone par E-Mail aur Missed Call ke zariye bhi harasan karna badh gaya. Yeh tafseelaat She Team ne khidmaat ke 6 baras mukammal honay ke zimn mein munaqidah taqarib ke silsilay mein tafseelaat faraham ki hain.

Ohdedaron ne kaha hai ke 2014 se September 2020 October tak yahan Dial 100 ki sahoolat, She Team ke Facebook Page, WhatsApp Number, Hulk EyeApp, E-Mail, Twitter Handle aur barah-e-raast un ke zariye 30,187 darkhwasten daakhil ki gayeen. WSW hukkaam ke mutabiq un Platforms ke zareya shikayaat ki tadaad mein 40 feesad se badh kar 63 feesad tak zabardast izafah huwa hai. 28 January 2020 ko hukkaam ne WhatsApp Number ( 9441669988 ) shuru kiya aur ab tak 420 shikayaat masool hui hain. Additional Director General Police incharge WSW Swati Lagra ne kaha hai ke She Team dehi aur shehri ilaqon mein khawateen aur bachon ko kisi bhi terhan ki harasan honay ki soorat mein She Teams se rabita karne aur shikayaat darj karne ke liye agay anay ki targheeb day rahi hain.

Reyasti hukoomat ke khawateen ke liye ek mehfooz mahol faraham karne ke vision ke hissay ke tor par She Teams ka aaghaz 24 October 2014 ko Hyderabad mein kiya gaya tha. Shehar mein She teams ki kamyabi ke pesh-e-nazar is ki ibtida Cyberabad aur is ke baad yakam April 2015 se riyasat bhar mein ki gayi. WSW bhi khawateen ki hifazat se mutaliq aagahi programs ka silsila shuru karkay aur un ki salamti ko intehai ahmiyat day kar pehlay hi mulk mein apne liye ek naam roshan kar chuka hai. Tamam She Teams ko tarbiyat di gayi thi aur wabai amraaz ke douran online tarbiyat di gayi thi.