Monday, May 20, 2024
HomeSliderSmith ki century ke baad Hindustan ka bhi behtar jawab

Smith ki century ke baad Hindustan ka bhi behtar jawab

Sydney: Sabiq captain Stevin Smith ne bil-akhir series mein apna form haasil karliya aur 131 runs banatay hue shandaar wapsi karne ke sath apni 27 win century mukammal ki jabkay Hindustan ke liye baen haath spiner Ravinder Jadeja ne 62 runs par 4 wicketon ki behtareen bowling aur qaumi openers ki umdah aaghaz se Hindustan ne Australia ke khilaf teesre cricket test ke dosray din jummay ko thos jawab dete hue muqaabla barabari per laadiya hai. Australia ne pehli inning mein 338 runs banaye jabkay Hindustan ne dosray din ka khail khatam honay tak do wicketon ke nuqsaan par 96 run banaye liye hain taham Hindustan Australia ke majmoi score se abhi pehli inning mein 242 runs se ki baiqi . Dono teamon ke darmiyan rawan test ka doosra din poori tarhan Smith aur Jadeja ke naam raha. Smith pehlay do test matchon mein achi karkardagi ka muzahira karne mein nakaam rahay thay lekin unhon ne teesray test mein shandaar wapsi ki aur zaroorat ke waqt century banai. Smith ne apni ining ke douran 226 gaindon ka saamna kya aur 16 chokay lagaye.

Century ke alawa Smith ne teesri wicket ke liye labuschagne ke hamrah 100 ki partnership banai taham Labuschagne 91 runs banakar Jadeja ka shikaar banay. Labuschagne ne 196 gaindon ka saamna karte hue apni inning ke douran 11 chowkun ki madad 91 runs banaye jinka sleep par Ajinkya Rahane ne ek shandaar catch liya. Doosri janib Jadeja ne 18 over mein 62 runs day kar chaar wickten haasil kee aur Australia ko bada score bananay se roka. Unhon ne lower order mein vade ko out kya jo kay 16 gaindon mein 2 chowkun ki madad se taiz raftaar 13 runs banakar apne maqasid zahir kardiye thay aur zahir ho raha tha ke woh Smith ke sath jarehana aur taiz raftaar khan taakay ziyada se ziyada runs bana sakay. Hindustan ne Australia ko all out karne ke baad pehli inning mein achi shuruvaat ki aur Rohit sharma aur Shubhman gill  ne pehli wicket ke liye 70 runs ki sajedhari ki. Rohit sharma zakhmi honay ki wajah se pehlay do test muqablon se bahar thay lekin is match mein unhon ne wapsi kar ke aur behtar shuruvaat fraham karne mein apne tajurbah ka poora istemaal kiya lekin woh infiradi tor par bada score karne may nakaam rahe. Rohit ko josh Hazelwood ne apni hi gaind par khud hi catch karkay out kya.

Rohit ne 77 gaindon mein teen chowkun aur ek chhakay ki madad se 26 runs banaye. Pehli wicket girnay ke bawajood shubhman gill ne apni umdah batting jari rakhi aur apne test career ki pehli nisf century banai. Shubhman ka yeh dosra test match hai aur unhoun ne Melbourne mein apne test career ka aghaaz kiya tha. Nisf century bananay ke baad wo ziyada der crease par nahi tik sakay aur Cummins ne Cameron green ke hathon catch kara kar pavellion bhaij diya. Shubhman ne 101 gaindon mein aath chowkun ki madad se 50 run banaye. din ka khail khatam honay tak pujara 53 gaindon mein 9 runs aur captain Ajinkya rahane 40 gaindon mein 5 run bana kar crease par mojood hain. Australia ki taraf se Hazelwood ne 23 runs day kar ek wicket aur Cummins ne 19 runs day kar ek wicket haasil ki hai