Melbourne: Difai champion Australia ney world cup 2019 ke liye apne 15 rukni squad ka elaan kardiya jis mein sabiq captain Stevin Smith aur David Warner ki wapsi hui hai jabkay Josh hazlewood aur Peter Handscomb squad mein jagah nah bana sakay jabkay Hindustan aur Pakistan ke khilaaf series mein team ko futuhat dilwanay walay captain Aaron Finch ki hi qayadat barqarar rakhi gayi hai .
Guzashta saal junoobi Africa ke khilaaf test mein baal tampering scandal ke baad Stevin Smith aur david warner par cricket Australia nay feekas ek saal ki pabandi aed kar di thi jis ka khatama guzashta mah qatam hua hai. Australia nay Stevin Smith ki squad mein wapsi ke bawajood world cup ke liye Aron Finch ko hi team ka captain barqarar rakha hai .
Dono khiladion nay pabandi ke khatmay ke baad se koi bain ul aqwami match nahi khela lekin IPL mein umdah form aur tajarbay ko mad e nazar rakhtay hue dono khiladion ko world cup ke squad ka hissa banaya gaya hai aur ab yeh dono 1st June ko Afghanistan ke khilaaf world cup match mein Australia ki numaindigi karen ge .
Pabandi ki saza mukammal karne ke baad yeh dono khiladi to autsraliyai squad ka hissa ban gay lekin haeran kan tor par peter handscomb team shaamil nahi hain. Handscomb ka squad se ikhraj kisi baday dhakkay se kam nahi kyunkay woh in dinon na sirf behtareen form mein they balkay mutabadil wicket keeper ki izafi zimmay dariyan bhi nibhanay ki salahiyat rakhtay hain .
Australia nay 15 rukni squad mein 5 fast bowleron ko shaamil kiya hai lekin is mein josh hazlewood jagah nah bana sakay kyunkay woh abhi tak apne zakham se mukammal tor par sehatyab nahi ho sakay aur selctors nay issues ko mad e nazar rakhtay hue is hawalay se khatrah mol nahi lena chahtay. Mitchell starc ki bhi squad mein wapsi hui hai jabkay unka sath dainay ke liye Patt Cummins , Jey Richardson, Nithin Nile Counter Aur Jason Behndroff mojood hon ge .
Aron Finch nay guzashta 13 ODI matchon mein team ki numaindagi ki aur ek century aur 3 nisf centuries ki badolat 43.54 ki ost se runs score kiye. captain Finch nay kaha ke handscommb ka ikhraj hum sab ke liye mayoos kan hai lekin hamein chand sakht faislay lena they aur bad qismati se un sakht faislon mein handscombb ka naam bhi shaamil tha. unhon nay kaha ke is se andaza lagaya ja sakta hai hamaray paas is hadd tak behtareen salahiyat ke haamil khiladi dastyab hain ke hum behtareen form ke haamil khiladi ko squad se bahar bitha rahay hain. Australian cheif selector nay kaha ke khiladion ki salahiyat aur unke darmain sakht muqablay ko dekhte hue hamaray liye 15 rukni squad ka intikhab intehai mushkil faisla tha jis ke liye hamein chand intehai sakt faislay lena pade. team mein Alex carry wahid wicket keeper hain aur kisi bhi zakham ki soorat mein Australia ko mushkilaat ka saamna karna pad sakta hai aur is soorat mein mutabadil nah anay tak yeh zimmay daari warner ko anjaam dena pad sakti hai. Australia nay squad mein do spinners Adam Zampa aur Nithin leon ko shaamil kya hai jabkay usmaan khwaja bhi jagah bananay mein kamyaab rahay. England mein honay walay world cup ke liye Australia ka 15 rukni squad un khiladion par mushtamil hai .
Aron Finch ( Captain ), David Warner, Usmaan Khwaja, Stevin Smith , Shaun Marsh, Glen Maxwell, Mark Stoinnis , Alex Carry , Pat Cummnis , Mitchell Starc, Richardson , Nithin Nile Counter, Jason Behndroff, Adam Zampa Aur Nithin Leon.- YTN STAFF