Sunday, April 20, 2025
HomeSliderSmart phone ki Battery ki zindagi badhana hai to yeh tadabeer ikhtiyar...

Smart phone ki Battery ki zindagi badhana hai to yeh tadabeer ikhtiyar karen

Hyderabad : Smart phone aaj hamari zindagi ka ek aisa hissa ban chukka hai jiske baghair yomiya mamlaat ki takmeel ka tasawwur bhi mahaal hai aur smart phone ki Battery jald khatam hojane se har Sarif pareshan dikhayi deta hai lekin kuch aisay gir hain jinhen ikhtiyar karte hue phone ki Battery ka karkardagi mein izafah kiya jasakta hai lekin is se qabal Battery ke mutaliq kuch ahem maloomat ka bhi faida hoga.

Yeh bhi ghour karne wali haqeeqat hai ke smart phone ki battery ek saal ke andar hi kamzor hojati hai ya yun keh len ke usay jald charge karna padhta hai. magar aisa kyun hota hai aur isse bachna mumkin hai ya nahi yeh aisay sawal hain jiske jawab har koi chahta hai. waisay yeh kehnay ki zaroorat nahi ke smart phones ka istemaal ab roz marrah ka hissa bantaa jaraha hai aur unki charging ka masla din ba din badhta Chala jaraha hai. lekin iski wajah kaafi sada hoti hai aur woh yeh lithim ion Battery ( smart phones mein yahi istemaal hoti hain ) ki karkardagi ki zindagi umooman 500 cycle ( lag bhag daidh saal agar rozana ek baar charge kiya jaye ) hoti hai.

Ek battery cycle se murad 0 se 100 tak ek martaba charging hai, to aap ka phone jitni bar mukammal cycle ke amal se guzreyga, itna hi jald usay badlane ki zaroorat bhi mehsoos hogi. mobile phone repair business se munsalik ek company mobile kalank ki director ke mutabiq smart phone ki battery Lithium ion ki hoti hai aur iske andar keemiyai action usay kamzor banata hai. misaal ke tor par agar aap kisi battery ke andar dekhen to aap mukhtalif tarhan ki tahoun ko ek dosray mein sandwich bana dekhenge. un tamam materials ke teen section hotay hain, negative, Graphite aur copper battery ki negative woh hissa hota hai jahan power ( tawanai ) zakheera hoti hai jabkay positive hissa mein is jama honay wali tawanai ko istemaal kiya jata hai aur ek electroplate polymer aisa hota hai jo un dono ke darmiyan sarbarahiyoun ke hamwar rakhnay ka kaam karta hai.

Ek keemiyai ray action dono hisson ke darmiyan hokar phone ko chalata hai lekin is amal ke douran electron apne lithium atoms peechay chodh dete hain jo battery ko ray charge honay ke qabil banatay hain. aasaan alfaaz mein usay mukammal charge circle kaha jata hai lekin har baar aisa karne se battery ke material mein kami anay lagti hai aur woh pehlay ki tarhan electrical charge ko qaboo mein rakhnay ki salahiyat se mehroom honay lagti hai.

Unhoun ne mazeed kaha ke behtar yeh hai ke phone ki batteries ki zindagi badhaane ke liye koshish karne ke usay mukammal charge karne se gurez karein aur 25 taa 85 feesad tak charging ke baad phone ko charger se nikaal len. aasaan alfaaz mein phone ki battery ko mukammal 0 tak pohanchanay se guraiz ki koshish karen aur jab charge karen to 85 feesad par pohanchanay ke baad charger nikaal den, agar nahi kar paye aur battery mukammal charge hogayi to device ko charger par lagana choden.

Aisa musalsal karna barqi devices ki Umar bohat tezi se kam karta hai aur yahi wajah hai ke raat ko phone charge par laga kar chodna taweel al-miyaad bunyadon par phone ke liye nuqsaan da samjha jata hai. alawa azeen agar aap battery ki zindagi ziyada arsay tak bar qarar rakhna chahtay hain to chand cheezoun par amal ko apna len. jab zaroorat na ho to wifi aur bluetooth ko band kar dein.

Apne phone ko kamray ke darjaa hararat mein hi rakhen. phone ki Brightness ( roshni ) ko 100 feesad tak na badhayain. battery ko mutasir karne walay app jaisay Facebook auto play ko turn of kardein. jab mumkin ho phone ko low power mode par istemaal karen. phone ko jald charge karne ke liye flight mode par charging karen. –YTN STAFF