Wednesday, May 15, 2024
HomeLatest NewsSiyasi qaideen mein bullet proof gadiyoun ke husool ki daudh tez,...

Siyasi qaideen mein bullet proof gadiyoun ke husool ki daudh tez, crores rupaye ke masarif bardasht karne tayyar

Hyderabad: Hindustan mein parlimani intikhabaat ki tayyariyan guzashta chand mahino se urooj par hain agar aap aisa sochte hain to aap ko apni soch badalne ki zaroorat hai kyunkay intikhabaat ki tayyariyan 2017 se hi shuru ho chuki hain .

yeh haqeeqat sun kar kuch ajeeb lagta hai ke do saal pehlay tayyariyan kis tarha shuru ho sakti hain to aap ko yeh jaan kar hairani hogi ke kayi mahinay pehlay hi Hindustan ki chand ahem reyaston jin mein Uttarpardesh, Bihar, Jharkhnd, ChateesGarh, Maharashtra, Andhra Pradesh, Jammu Kashmir aur Haryana ke kayi siyasi qaideen nay bullet proof gadiyoun  ki tayari ke liye Punjab ki ek factory ko order day diya tha .

Punjab ke maqam Jhalandar  mein moujood Liger Industries Ltd ko kayi gadiyoun  ko bullet proof bananay ke order dediye gaye they. company se mossola tafseelaat ke bamuwajib ek gaadi ko mukammal bullet proof bananay ke liye 60 taa 90 din ka waqt lagta hai jabkay chalees se zayed gadiyoun  ko bullet proof bananay ke order miley hain. ek gaadi ko bullet proof bananay ke liye lakhoon aur aala miyaar ki technique istemaal karne ki khwahish mein ek gaadi par crores rupiye kharch kiye jarahay hain. company nay ek khaas andaaz mein gadiyoun  ko mehfooz bananay ke intizamaa kiye hain .

company mein SUV gaadi ko bullet proof bananay ke liye is mein imported balastic glass, chatoun par steel ke plates aur petrol wo diesel ke tank par bhi khaas qisam ki chadarein chadhai jati hain jis ki wajah se gadiyoun  par golion se hamla honay ya grenade ka bhi hamla honay se bhi gaadi mehfooz rehti hai. is ke alawa un gadiyoun  mein makhsoos tarz ke flat tyres bhi nasb kiye jatay hain jis ka yeh faida hota hai ke agar Tyres par goli bhi chalaye jaye to yeh gaadi mutasirah haalat mein bhi 50 kilometer fee ghanta ki raftaar se safar tey karne ke qabil hoti hain. company nay kaha hai ke sirf Uttarpradesh ki do siyasi jamaten SP aur BSP ke siyasat daano ki janib se teen Douzens se ziyada gadiyoun  ko bullet proof bananay ke order masool hue hain jabkay 2004 aur 2009 ke parlimani intikhabaat mein company nay 14 Ambasadors, Tata Safari,Pajero, Scorpio aur Land Cruiser ko bullet proof karon mein tabdeel kiya hai lekin is martaba SUV zamray ki gadiyoun  ko bullet proof banaya ja raha hai un mein Scorpio Fortuners, Endreavours qabile zikar hain .

Ek car ki chhat ko bullet proof bananay ke liye 6 taa 40 laakh ke masarif atay hain isi tarha bullet proof gala seen jo ke 30 mili meters taa 40 mili meters ka hota hai aur is ke liye 3 taa 6 laakh rupiye ke akhrajaat bardasht karne parte hain. gadiyoun  mein bullet proof pahiye Germany se daraamad kiye jatay hain jis per fee tyres mazeed 3 laakh ke akhrajaat bardasht karne parte hain. gadiyoun  ko bullet proof bananay ke bhi teen zamray hain jis mein level two level three aur level for hai. gadiyoun  ka jaisa jaisa level badhta jaye ga waisay hi unki hifazat ka miyaar bhi mazeed shandaar hota jayega. goliyoun ke hamlon se le kar Granade ke hamlon tak bhi gadiyoun  ko mehfooz bananay ke liye mukhtalif intezamat mojood hain lekin gaadi ki jitne taaqatwar hamlay se mehfooz rakhnay ke qabil banaya jata hai is par utne hi laakh rupiye ke akhrajaat mein izafah hojatahe. Behr kaif siyasi qaideen ki bullet proof gadiyoun  par ab lakhoon hi nahi Crores rupiye kharch ho rahay hain .-YTN STAFF