Sunday, April 28, 2024
HomeIndiaSiyasatdanoun Ke Karnaama Ka Sehra Modi Apne Sir Lena Band Karen

Siyasatdanoun Ke Karnaama Ka Sehra Modi Apne Sir Lena Band Karen

Kolkata: Mission Shakti ki shandaar kamyabi par Hindustan bhar mein khushi ka mahol hai lekin is mahol mein Siyasatdan apni siyasi rotian bhi garam karne lagen hain aur is muamlay mein Wazeer e Azam Narendra Modi phir ek martaba tanqeed ki zad mein hain.

Mission Shakti kamyabi par fakhr ka izhaar karte hue maghribi bangal ki cheif minister Mamta Benerji ne kaha ke Hindustan ka space mission aalmi miyaar ka hai jo guzashta kayi saal ke tehqeeq aur space organization ki mehnaton ka nateeja hai. Hindustan ny space mein jungi salahiyat ka shandaar muzahira karte hue Mission Shakti ke zareya aasman mein Live Satellite ko maar giraya hai. is ke sath hi Hindustan duniya ke un chaar mumalik mein shaamil hogaya hai jo khala missile ko maar giranay ki salahiyat rakhtay hain .

Mission ki kamyabi par wazir-e-Azam Narendra Modi ki janib se tamam sehra apne sir lainay ki koshish tanqeed ka nishana banatay hue Mamta Benerjee ne kaha ke research, space Management aur development guzashta kayi saal se jari hai. Modi har ek cheez ka sehra lena chahtay hain jabkay is ke liye tareef aur mubarak badke mustahiq hamaray sciencedaan aur mohqiqeen hain .

Modi ki taqreer ke fouri baad Tweet karte hue mamta ne likha hai ke Modi ke zareya aaj ka elaan bhi ek drama hai aur is ke zareya apni tashheer maqsood hai. Modi is ke zareya intikhabi faida haasil karna chahtay hain aur yeh intikhabi zabita e ikhlaq ke khilaaf hai. Mamta Benerjee ne kaha ke rukhsat Pazeer hukoomat ke sarbarah ke zareya Mission Shakti ki kamyabi ka elaan darasal BJP ko shikast se bachanay ke liye oxygen dainay ki koshish hai. hum is muamlay mein Election Commission se rabita karkay shikayat karenge .

Doosri janib Trinamool congress ne bhi bayan jari karte hue wazir e Azam Modi ki taqreer par sakht aitraaz kiya hai aur kaha hai ke yeh zabita e akhlaq kay khilaaf warzi hai. Wazeer e Azam Mission Shakti ki kamyabi ka sehra –apne sir bandh kar intikhabi faida haasil karna chahtay hain lekin Mulk ke awam ko saari haqeeqat maloom hai. BJP ko iska faida nahi milnay wala hai .

Trinamool congress ke leader wo reyasti wazeer Farhaad Hakeem ne kaha ke un tamam halaat ke tanazir may kaha ke dosaron ki mehnat ka sehra lainay ka silsila Modi band karen, live satellite ko giranay ka karnaama mulk ke sciencedaano ne anjaam diya hai. Modi hukoomat guzashta paanch saal mein mulk ke awam ko faida pohanchanay mein nakaam rahi hai. farhaad hakeem ne kaha ke Modi aur BJP is ke zareya faida haasil karna chahtay hain lekin inhen kamyabi nahi milnay wali hai .