Sunday, May 11, 2025
HomeTrending NewsSiyah faam shakhs ki Police ke hathoun mout ke baad America mein...

Siyah faam shakhs ki Police ke hathoun mout ke baad America mein hungama

Washington: America ki riyasat Minneapolis mein siyah faam shakhs George Floyd ke qatal mein mulawis safaid faam police ohdedar ku girftar karkay is ke khilaaf Third Degree qatal ka muqadma darj karliya gaya. Wazeh rahay ke chand roz qabal ek video viral huvi thi jis mein ek police ohdedar ne siyah faam shakhs ko daboch rakha aur is ki gardan par apna ghotna rakha huwa hai.

Baad azan siyah faam shakhs ki shanakht 46 sala George Floyd ke naam se huvi jo gardan par ghatney ki wajah se saans nahi le saka aur dam toad diya. Khabar rasan idaray  ke mutabiq viral hone wali video mein suna ja sakta hai ke George Floyd afsar ko naheef aawaz mein saans laine mein dushwari ki shikayat kar raha hai. Derek Chauvin un 4 ohdedaroun mai se ek hain jinhein video viral hone ke baad mulazimat se bar tarf kardiya gaya aur un ke khilaaf Third Degree qatal ka muqadma darj karliya gaya.

Derek Chauvin ne hi George Floyd ki gardan par poori taaqat se 5 minute tak ghotna takaye rakha tha jis se siyah faam shakhs ki mout waqay hui. Report ke mutabiq police ne jaali currency note istemaal karne ke shuba mein George Floyd ko hirasat mein liya tha jahan wo douran hirasat dam toad gaya. Hennepin county prosecutor Mike Freeman ne media se kaha ke police ohdedar Derek Chauvin zair hirasat hain.

Unhoun ne mazeed kaha ke Derek Chauvin par qatal aur qatal aam ke ilzamaat ayed kiye gaye hain. Prosecutor ne bataya ke ye ilzaam third degree qatal ka tha. Doosri janib Minnesota ke Americi Senator Amy Klobuchar  ne Derek Chauvin ki giraftari par usay insaaf ki taraf pehla qadam qarar diya.

Sabiq sadar Barack Obama ne siyaam faam George Floyd ki halakat par kaha ke America mein nasal parasti aam nahi ho sakti. Unhoun ne kaha ke agar hum chahtay hain ke hamaray bachay aisay mulk mein parwan chadhen jo aala tareen nazriaat par qaim ho to hamein behtar se behtar kaam karne ki zaroorat hai aur hum kar satke hain. Khayaal rahay ke George Floyd ki police ki hirasat mein halakat ke baad ehtijaj mein shiddat aagai hai. Ehtijaj aur muzahiroun ke douran ab tak senkdoun dukanain aur police station nazar aatish kiye ja chuke hain.

Jis ke baad America ke sadar Donald Trump ne kaha ke ehtijaj khatam nah huwa to fouj bhaij kar muamlay ko saaf kardiya jaye ga. Alawa azeen riyasat Minnesota  mein musalsal shehrioun ki janib se shadeed ehtijaj aur jalao gherao jari hai jahan judwaa shehroun Minneapolis  aur senatepal mein police halaat qaboo karne ki koshish kar rahi hai. –YTN STAFF