Monday, April 21, 2025
HomeLatest NewsSixer king Yuvraj Singh Bain-ul-aqwami Cricket se sabkadosh

Sixer king Yuvraj Singh Bain-ul-aqwami Cricket se sabkadosh

Mumbai:  World cup 2011 mein Hindustan ko khitabi kamyabi mein ahem rule ada karne aur Man of the tournament ka aizaz haasil karne walay Yuvraj Singh ne bain-ul-aqwami cricket ke sath IPL se bhi sabkadosh ka elaan kardiya hai. hindustani cricket ke behtareen All rounder mein shumaar Yuvraj singh ne apni sabkadosh ka elaan aisay waqt kiya jab England mein ICC world cup chal raha hai aur Hindustan is tournament mein musalsal apne do muqablay jeet chuka hai. sixer king ke naam se mashhoor jarehana batsman aur baen haath ke spiner yuvraj ne Hindustan ki maizbani mein 2011 mein hue world cup mein mulk ko 28 baras ke taweel intezaar ke baad champion bananay mein ahem kirdaar ada kiya tha jis ke liye inhen Man of the tournament aizaz se nawaza gaya tha .

Unhon ne Mumbai ke ek hotel mein press conference mein apni sabkadoshi ka elaan kiya. yuvraj ne kinara kashi ka elaan karte hue kaha kay yeh mere liye bohat hi jazbati lamha hai. mulk ke liye khelna kisi bhi khiladi ki zindagi mein sab se fakhr ki baat hoti hai aur is khel ko chodhna aasan nahi hota jis se aap ne itni mohabbat ki hai. yeh bohat mushkil aur sath hi mere liye bohat khobsorat waqt hai. cricket career mein 25 aur bain ul aqwami career mein 17 saal guzaarne ke baad ab mein ne agay bherne ka faisla kar liya hai .

Hindustan ki taraf se 304 ODI, 40 test aur 58 T20 muqablay khailnay walay yuvraj Hindustan ki 2007 mein T20 world cup aur 2011 mein ODI world cup jeetnay wali team ka hissa rahay. unhon ne kaha kay mein bohat khush qismat hon ke mein ne Hindustan ke liye 400 se ziyada muqablay khailay. jab mein ne apna cricket career shuru kiya tha tab mein ne kabhi yeh tasawwur bhi nahi kiya tha ke mein yahan tak pahuchoonga. mein ne is khel ko itna pyar kiya jisay mein alfaaz mein bayan nahi kar sakta. is khel ne mujhe sikhaya ke kis terhan lad kar utha jata hai .

Apne shandaar cricket career ko yaad karte hue yuvraj ne jazbati andaaz mein kaha kay mein ne apne 25 baras ke career aur 17 baras ke bain ul aqwami career mein kayi utaar chadau dekhe hain. mein ne ab apne career mein agay badne ka faisla karliya hai. Yuvraj guzashta kaafi arsa se hindustani team se bahar they. unka khawab 2019 ke world cup mein bhi khelna tha lekin naaqis form aur fitness ki wajah se unka yeh khawab sharminda tabeer nah ho saka. yuvraj ko hindustani cricket mein hamesha ek aisay janbar all rounder ke tour par yaad rakha jayega jinho  ne ek over mein 6 chhakay laganay sameit mulk ko koi yadgar lamhay diye. sarkardah all rounder ne kaha kay mere cricket safar ke douran kuch aisay pal rahay jo hamesha meri yaado mein qaim rahen ge. 2002 net west series ka final, 2004 mein Lahore mein meri pehli test century, 2007 mein England mein test series aur 2007 T20world cupp ki khitabi jeet aur 6 chhakay aur sab se ziyada yadgar 2011 world cup ka final.

Yuvraj ne apne bad tareen waqt ke liye kaha kay 2014 twenty 20 world cup ka final mera bad tareen din tha. mein ne Srilanka ke khilaaf 21 geindon mein 11 runs banaye. is waqt mein itna toot gaya tha ke mujhe laga mera career khatam hojayega. cancer ne inhen kaafi waqt tak cricket se dur rakha lekin cancer ko jeet kar jab woh cricket ke maidan mein wapas aeye to pehlay jaisay khilari nahi rahay they. unhon ne 2013 tak apna maqam barqarar rakha lekin is ke baad unko 4 saal tak ghair yakeeni sorat-e-haal ke daur se guzarna padha.

Yuvraj ne apna aakhri test 2012, aakhri ODI 2017 aur aaqree Twenty 20 yakam feb ko khela. unhon ne apne career mein 40 test matchon mein 1900 runs, 304 ODI mein 8701 runs aur 58 T20mein 1177 runs banaye. unhon ne test mein no, ODI mein 111 aur T20 mein 28 wicket liye. woh is saal IPL mein Mumbai Indians ki janib se 4 matchon mein khailay jis mein unhon ne 53, 23, 18 aur 4 runs banaye. yuvraj ne teen April ko apna aakhri cricket match khela aur 10 June 2019 ko sabkadoshi ka faisla karliya . –YTN STAFF

r