Sunday, April 20, 2025
HomeSliderSirf Sotan laane par Talaq ka mutalba, Adalat ne mustard kardiya

Sirf Sotan laane par Talaq ka mutalba, Adalat ne mustard kardiya

Dubai: UAE ki aala wifaqi adalat ne Sotan laane par Talaq ka mutalba mustard kardiya aur appeal court ke is faislay ko ghair qanooni qarar day diya jis mein miyan biwi ke darmiyan alehadgi karade gayi thi.

Tafseelaat ke mutabiq aala wifaqi adalat ne apne faislay mein wazeh kiya ke appeal court ne Sotan laane par miyan biwi ke darmiyan alehadgi ka faisla khilaaf shariat aur khilaaf qanoon kiya tha. Adalat is baat ki majaz nahi thi ke mehez Sotan laane par miyan biwi ke darmiyan alehadgi ka faisla jari karde. Jab tak pehli biwi ye nah saabit karde ke usay Sotan laane se haqeeqi nuqsaan kiya ho raha hai tab tak alehadgi ka mutalba haq bajanib nahi hoga.

Aala wifaqi adalat ne apne faislay mein nuqta uthaya hai ke mudai khatoon ne shohar se alehadgi ke mutalbe ke bawajood Judjes ke samnay apna aitraaf bhi record kara rakha hai ke Sotan laane ke bawajood is ka shohar is se aaccha sulooq kar raha hai aur koi bad sulooki nahi ki. Lehaza appeal court ne Sotan laane ko alehadgi ki bunyaad bana kar qanoon aur shariat ki khilaaf warzi ki hai.

Alawa azeen ek khatoon ne appeal court mein muqadma dair kiya gaya tha mein apne shohar se alehadgi chahti hon kyunkay wo mere oopar Sotan le aaya hai aur mujhe is ke 4 bachoun ki parwarish ke akhrajaat bhi darkaar hain. Khatoon ne mohar, Nan nufqe aur aulaad ke kharchay ka bhi mutalba pesh kiya tha. Mudai khatoon ne kaha ke mere shohar ne Sotan lakar mujhe nuqsaan pohanchaya hai isi wajah se mein adalat ka darwaaza khatkhata rahi hon.

Adalat ne shohar biwi dono ko musalihat ka mahswara diya tha. Shohar ne qubool karliya tha jabkay biwi ne mustard kardiya tha. Adalat ne biwi ko sulah par amaada karne ki koshish ki lekin kamyabi haasil nahi hui. Ye dekh kar adalat ne do saalis muqarrar kiye aur inhen musalihat karanay ki zimma daari tafweez ki. Dono ne report pesh ki ke mushtarqa ghalti ki wajah se sulah mushkil hai aur biwi Talaq par bazid hai.

Primary court ne miyan biwi mein alehadgi ka faisla day diya tha aur sath hi mohar ki baqi raqam ada karne aur charoun bachoun ki parwarish ke akhrajaat dainay ka hukum bhi jari kardiya tha. Adalat ne shuhar ku ye hukum bhi diya tha ke wo bachoun ki maa ke liye munasib rahaish ka bandobast kere jahan wo is ke bachoun ki durust tareeqay se dekh bhaal kar sakay. Adalat ne Khadima ki thankhowa bhi muqarrar kar di thi.

Appeal court ne primary court ke faislay mein tarmeem kar di thi. Nan nufqe ke hawalay se rado badal kiya gaya tha taham khawind ne is faislay ke khilaaf aala wifaqi adalat se rujoo karkay kaha tha ke mujhe appeal court ka faisla manzoor nahi, Jis par appeal court ne faisla shohar ke haq mein ye kehte hue diya ke sirf Sotan laane par Talaq ka mutalba Shariat aur qanoun ke khilaaf hai. –YTN STAFF