Friday, April 19, 2024
HomeLatest NewsSirf 18 mah mein 3.17 lakh cyber Jurum

Sirf 18 mah mein 3.17 lakh cyber Jurum

Cyber jurum mein taizi se izafah ho raha hai aur corona ki wajah se jahan yomiya zindagi mein online sar garmion mein izafah hua hai wahein cyber Jurum mein bhi kafi izafah hua hai. Corona ki wajah se lockdown kiya gaya tha aur lockdown ki wajah se awam ne gharon se hi mulazmat injaam dainay ke ilawa Google pay, phone pay aur Paytm par hukumat ki lain deen ke alawa online portals ke zareye yomiya zindagi ke kayi kaam injaam dainay shuru kiye hain jis ki wajah se cyber jurm mein bhi izafah hua hai.

 

Tafseelaat ke bamujab pichlle 18 mah ke douran markaz ki janib se fraham kardah portal ke zareya jumla 3,17,439 cyber jurum aur 5,771 FIR darj ki gayeen, jin mein se barri tadaad aharashtra aur Karnataka se hai. yeh tafseelaat lok sabha mein fraham ki gai hain.

ALSO READ:-Jurm ki century ke qareeb pahonch chuka mamur chor

Markazi wizarat dakhla ke wazeer G.Kishan Reddy ne kaha ke wizarat dakhla ne 30 August 2019 ko qaumi cyber crime reporting portal muta-arif kiya taakay shehrion ko har qisam ke cyber jurum aur dhoka dahi ke waqeat ki online shikayat ke liye ek markazi tareeqa car fraham kiya jasakay. Is ke adad o shumaar ke mutabiq is ke aaghaz se hi mulk mein 28 feb 2021 tak 3,17,439 cyber jurum ke waqeat aur 5,771 FIR darj ki gayeen jin mein Karnataka mein 21,562 cyber jurum waqeat aur 87 FIR aur 50, 806 cyber jurum waqeat aur 534 deegar shikayat shaamil hain.

Unhon ne ek sawal ke tehreeri jawab mein yeh kaha. wazeer ne kaha ke is portal par paish ane walay waqeat, un ki FIR mein tabdeeli aur is ke baad honay wali karwai ko qanoon ki daf-aat ke mutabiq mutaliqa riyasat aur Union Territory qanoon nafiz karne wali agency sambhal leti hai. Alawa azeen am each ae riyasat aur markaz union ke sath baqaidagi se baat cheet karti hai aur inhone khawateen aur bachon se mutaliqa afraad par khusoosi zor dainay ke sath report honay walay cyber juraim aur dhoka dahi ke waqeat ke tadaruk ko taiz karne ka mahswara deti hai.