Sunday, May 12, 2024
HomeSliderSiraj ke naam teesray hi test mein 5 wickten

Siraj ke naam teesray hi test mein 5 wickten

Hyderabad: Hindustan aur Australia ke khilaaf rawan test series ke aakhri aur faisla kin match mein hyderabadi fast bowler Mohammad Siraj ne apni salahiyaton ka loha manwate hue aaj 5 wickten haasil karne ka karnaama anjaam diya hai.

Yeh unke career ka teesra hi test hai jis mein unhon ne paanch wickten lainay ka karnama anjaam diya. Is se pehlay gaba stadium par prasanna, bushan singh bidi, madan laal aur zahir khan ne paanch wickten haasil ki theen. Mohammad Siraj ko ek aur fast bowler Mohammad Shami ke zakhmi honay ke baad aakhri 12 khiladion mein jagah di gayi thi. Mohammad Siraj ne Shami ki kami poori ki.

Is match mein Hindustan ke kaleedi fast Jasprit Bumrah ki Adam mojoodgi ke bawajood Siraj par bhaari zimmedaari thi aur unhon ne is zimmedaari ko bakhoobi ada kiya. Unhon ne Bumrah ki kami mehsoos honay nahi di. Siraj ne match ke chouthay din 73 runs dete hue paanch wickets haasil kiye .

Is tarhan Mohammad Siraj border- gawaskar series mein sab se ziyada wickets lainay walay bowler ban gaye hain. Siraj ne teen matches mein 13 wickets liye jo ashwin se ek wicket ziyada hai. Ashwin peeth mein takleef ki wajah se chouthay test ke liye dastyab nahi hosakay. Siraj ne Brisbane test mein doosri inning mein fast bowling mein behtareen muzahira kiya aur marnus labushagne, Mathew vade, steve smith, Mitchel starc aur josh Hazelwood ko pavellion bhijwaya.

5 wicket lainay ke baad jab woh dressing room ki taraf maidan se jarahay thay to is waqt unki team ke khiladion ne unko standing ovation diya. Is ka video BCCI ne apne twitter par shaya kya hai. is 13 second ki mukhtasir video mein yeh bhi dikhayagya hai ke Mohammad Siraj ko unke sath Bumrah is karnaama per gale laga rahay hain aur unke saathi is karnaama par masroor hokar taliyan bajarahe hain.