Saturday, May 18, 2024
HomeTrending NewsSingapore mein barsar aqtdaar PAP ki shandaar kamyabi

Singapore mein barsar aqtdaar PAP ki shandaar kamyabi

Singapore: Singapore ki barsar aqtdar Peoples Action Party ( PAP ) ney parliamani intikhabaat mein 93 mein se 83 nashistain jeet kar ek baar phir Iqtidaar haasil karliya. Election Officer Tan Meng Dui  ney hafta ke roz is baaray mein tafseelaat bitayen. PAP ko is baar 61.24 feesad vote miley, Halaank ye 2015 ke muqablay mein 8 feesad kam hai. Usay 2015 mein 69.86 feesad Vote miley they. PAP ke ilawa Workers Party ko 10 nashistain mili hain. Usay 2015 ke muqaabla 4 nashistain ziyada mili hain.

PAP ko SMC ki 83 mein se 13 aur GRC se 15 nashistain mili hain jabkay Workers Party ko 10 sabhi nashistain Hougang , SMC, Aljunied GRC  aur Sengkang GRC mili hain. Singapore ke Wazeer e Azam Lee Hsien Loong ney intikhabaat mein fatah par khushii ka izhaar karte hue kaha ke mein COVID-19 waba se nimatnay aur iqtisadi halaat mazboot karne aur is bohraan se nikalny ke liye is raye aama ka istemaal karoon ga. Singapore ke awam ke zareya mujh par aur party par aetmaad karne par mein fakhar mehsoos kar raha hun. Wazeh rahay ke PAP ney 2015 Singapore mein barsar aqtedar PAP ki shandaar kamyabi hasil ki thi.