Saturday, April 27, 2024
HomeIndiaSikkim mein Hind-China sarhad par jhadap, yom-e-jamhooria ke liye sakht intizamat

Sikkim mein Hind-China sarhad par jhadap, yom-e-jamhooria ke liye sakht intizamat

New Delhi: Mashriqi ladakh khittay mein line of control par kasheedgi ke darmiyan Hindustan aur China ki foujon ke darmiyan Sikkim mein phir se jhadap hui, taham fouj ke mutabiq yeh mamooli jhadap thi aur muqami kamandron ki satah par maslay ko hal karliya gaya hai.

Dono mumalik ke foujion ke mabain taaza jhadpon se mutaliq media reporton par sorat-e-haal ki wazahat karte hue fouj ne aaj kaha ke shumali Sikkim ke Nikola mein dono taraf ke fojion ke darmiyan mamooli jhadap hui. Dono simt ke muqami comamnders ne muamlay ko tay shuda bandobast ke tehat hal karliya hai.

Fojion ke darmiyan taaza jhadpen guzashta 10 Mahse taweel ta-attul ko khatam karne ke liye cover commander ki satah par honay wali baat cheet se pehlay hui hain.

ghair musadeqa it-tila-aat ke mutabiq jhadap main dono taraf ke fouji zakhmi hue hain aur sorat-e-haal kasheeda lekin qaboo mein hai. Cheeni fojion ne phir se hindustani sarhad mein daakhil honay ki koshish ki jisay hindustani fojion ne nakaam bana diya aur cheeni fojion ko karara jawab diya. iske baad dono taraf ke kamandron ne 16 ghantay se ziyada baat cheet ki.

Darin asna yom-e-jamhooria ki taqreeb ke mauqa par Hindustan ke dar-ul-hakoomat Dehli mein charon simt security ke sakht intizamaa kiye gaye hain aur iske liye hazaron musallah jawanoo ko tainaat kiya gaya hai. Dehli police ke ek senior ohdedar ne kaha ke yom-e-jamhooria ke paish-e-nazar qaumi dar-ul-hukoomat mein har ilaqay ki nigrani ke liye security intizamaa sakht kardiye gaye hain. Yom-e-jamhooria ki taqreeb ke sath kisanon ki tractor rally ke liye bhi security ke intizamaa kiye gaye hain. kisanon ki tehreek mein koi nagehani waqea runuma nah ho aur is zimn mein Pakistan ki janib se 308 Twitter handle ke mawaad ke paish-e-nazar police ke samnay challenge mazeed badh gaye hain.

Dehli police ka khayaal hai ke yeh is ke liye bohat hi challenging kaam hai lekin woh poori tarhan tayyar hai.