Monday, April 29, 2024
HomeSliderSiddipet mein Telangana ka dosra bain-ul-aqwami airport

Siddipet mein Telangana ka dosra bain-ul-aqwami airport

Hyderabad: Haliya dinon mein Siddipet kaafi charchon may raha hai aur khaas cross ilaqay ki taraqqi ne sab ki tawajah is ne apni janib mabzol karwali hai aur ab aisi khabrain hai ke Siddipet ya iske qareeb mein ek aur bain ul aqwami airport  ka mansoobah jald hi haqeeqat mein tabdeel hojayega.

Telangana ke chief minister KCR ne Siddipet zila ke qareeb dosray bain ul aqwami airport  ke imkaan ka ishara diya. Yeh airport  shehar Hyderabad ke Rajiv gandhi international airport ke alawa dosra airport hoga.

KCR ne zila ke ek gaon mein IT park ka sang-e-bunyaad rakhnay ke baad khitaab karte hue kaha ke Siddipet hyderabad se qareeb hai. hum mustaqbil mein Siddipet ke atraaf ke ilaqa mein ek aur bain ul aqwami airport  ki tawaqqa kar saktay hain. IT tower ke zareya Siddipet tamam shobo mein agay rahayga. unhon ne mujawaza IT tower mein dilchaspi rakhnay walay taajiron ko mubarakbaad paish ki. Siddipet se talluq rakhnay walay 4 sarkardah tajir jo America mein hain ne IT tower ke qiyam ke liye agay aaye hain jis ke zareya 900 afrad ko rozgaar ke mawaqay haasil hon ge aur 3000 afraad ko raast aur bil-wasita rozgaar haasil hoga.

Reyasti hukoomat 3 acre araazi par 45 crore rupiye ke akhrajaat se yahan IT tower ki taamer karegi. KCR ne zila mein mukhtalif taraqiyati kamon ka iftitah kiya. IT secretary Jayesh Ranjan ne chief minister KCR ki mojoodgi mein mutadid companies ke sath muahidon par dastakhat kiye. Un companiyon mein Jolan technology, vision tech, ambos technology, setun jaisi companian shaamil hain.

Is programme mein Vazra Haish rao, Niranjan Reddy , Prashant Reddy , rukan parliment ke parbhakr Reddy , arkaan assembly, council aur muqami numaindon ne shirkat ki. qabal azeen KCR ne Siddipet Urban mandal mein taamer kardah government medical college ki nai imarat ka iftitah kiya. Isi terhan 960 bistaron par mushtamil general hospital ki imarat ka sang-e-bunyaad rakha. yeh dawakhana 225 crore rupay ki laagat se taamer kya jayega. Siddipet medical college 135 crore ki laagat se taqreeban 25 acre araazi par taamer kiya gaya hai. dawakhana ki yeh imarat 3 laakh murabba foot par mushtamil hai jo teen manzila hai. KCR ne october 2017 mein is complex ki taamer ka sang bunyaad rakha tha. is medical college mein jumla 8 shobay hain. KCR ne zila Siddipet ke nawahi ilaqay ponalla mein TRS party office Telangana bhuvan ka iftitah kiya. baad azan is imarat ka muaina kiya gaya. tamam zilai marakaz mein Telangana bhavan taamer kiye ja rahay hain taakay TRS party ke kaarkunon ko munasib tarbiyat fraham ki jasakay jis ne dehi satah se reyasti satah tak party ki mazboot bunyaad rakhi ja sakay.