Thursday, May 2, 2024
HomeHyderabadShumali Riyasatoun ki zameen par saelaab ke pani se Hyderabad mein pyaaz...

Shumali Riyasatoun ki zameen par saelaab ke pani se Hyderabad mein pyaaz ki qeemat aasman par

Hyderabad:  Hindustan ke mukhtalif ilaqoun mein pyaaz ki qeematon mein be-tahasha izafah ho raha hai jis ka asr riyasat-e-Telangana ke mukhtalif azlaa aur dar-ul-hukoomat Hyderabad mein bhi dekha ja raha hai.

Pyaaz ki qeematon mein izafah ki ek bunyadi wajah maang mein izafah aur sarbarahi mein kami hai kyunkay shumali Hindustan ki reyaston ke beshtar ilaqay is waqt saelaab ke pani mein doobe hue hain.

Mojooda sorat-e-haal ki wajah se guzashta mah pyaz ki jo sarbarahi aur miqdaar faraham ki gayi thi is mah is ka nisf hissa hi dastyab hopaya hai. pyaaz ki sarbarahi mein maharashtra ko awliyat haasil hai kyunkay yeh Hindustan mein pyaaz faraham karne walay ilaqon mein teesray maqam par mojood hai.

Hyderabad ki market Malakpet mein pyaaz ki qeematon ka jo tajzia kiya gaya is mein maloom hua hai ke  guzashta mah behtareen miyaar ki pyaaz fee kuntal 18 hazaar rupaye thi jo badh kar is mah 3 hazaar Rupay hochuki hai. guzashta mah pyaaz ki sarbarahi ausatan 2800 kuntal  hogayi thi jo is mah kami ke baad 1700 kuntal hui hai. is ke alawa dosray miyaar ki pyaaz ka bhi yahi aalam hai kyunkay jo pyaaz guzashta mah 900 Rupay fee kuntal mil rahi thi ab woh badh kar 1700 Rupay fee kuntal hochuki hai. rozana ausatan 4000 kuntal pyaaz sarbarah ki jati thi jis mein nisf kami ke baad ab 2544 kuntal ki faraham horahee hai  is ke alawa riyasat mein mojood deegar pyaaz ki Markets ne ashiya ki sarbarahi mein kaafee kami dekhi jarahi hai jaissa ke Siddipet mein guzashta mah rozana senkdon kuntal pyaaz faraham ki jarahi thi lekin ab yahan guzashta do hafton se pyaaz 100 kuntal se bhi kam dastyab horahee hai.

Guzashta do hafton ke din pyaaz fee kuntal 900 Rupay se badh kar 2800 Rupay hochuki hai yahi wajah hai ke gali aur muhallaoun mein autos ke zareya jo pyaaz farokht ki jati thi woh guzashta mah 100 Rupay chaar taa paanch kilo dastyab horahee thi lekin ab wohi pyaaz 40 Rupay kilo hochuki hai. –YTN STAFF