Wednesday, July 9, 2025
HomeSliderShumali Korea ne 65 saal baad Amrici faujion ki lashen wapas kar...

Shumali Korea ne 65 saal baad Amrici faujion ki lashen wapas kar dein

Shumali Korea ne jang Korea mein halaak honay walay Amrici faujion ki baqyaat 65 saal baad Amrici hukoomat ke hawalay kar dein. Bain u aqwami khabar rasan idaara ke mutabiq jang e Korea ke 65 saal baad shumali Korea se Amrici faujion ki baqyaat taboton mein band karkay America muntaqil kar di gayi hain. Amrici Sadar Donald Trump aur shumali Korea ke sarbarah Kim Jong Un ke darmiyan honay wali mulaqaat mein Amrici faujion ki baqyaat wapas karne ka moahida huwa tha. Halaak faujion ke taboton ko Aqwam e Mutahidda ke jhanday mein lapeta gaya hai. Yeh baqyaat America rawana karne se qabal Junoobi Korea ke shehar Ausaan mein taqreeb munaqqid hui jis mein America , Aqwam e Mutahidda aur Junoobi Korea ke 500 arakeen ne shirkat ki. Koriyai jang mein halaak honay walay Amrikyon ki baqyaat 55 taboton mein Amrici riyasat Hawai pahunchain jahan Naib Sadar Mike Pence ne inhen qubool kya. Is mauqa par taqreeb bhi munaqqid hui. 1950 se 1953 tak Shumali Korea aur Junoobi Korea ke darmiyan jang hui thi. Ss jang mein Shumal ko China  aur Soviet Union jabkay Junoob ko America ki himayat haasil thi. Pahelay Korea aik hi mulk tha jis par 1910 se 1945 tak Japan ne hukoomat ki. Doosri jang azeem mein Japan ki shikast ke baad 1948 mein usay do hisson Shumal aur Junoob mein taqseem kardiya gaya. Shumali Korea Soviet Union ke hissa mein aur Junoobi Korea America ko mila. Is ke nateeja mein Shumali Korea par Communist nazriaat ka ghalba raha. Un dinov aalmi taqaton ke darmiyan cheqlish shuru hui jis ka nateeja jang ki soorat mein nikla jis mein 12 lakh afraad halaak hue jin mein 35 hazaar se ziyada Amrici fouji bhi shaamil thay. iI jang ke nateeja mein Korea ki dono riyastain mukammal taur par tabah o barbaad hogyin. Aik maahir forensic ne kaha ke ibtidayi jaanch se zahir hota hai ke baqyaat Amrrikyon ke hi hain. Yeh Sadar America Donald Trump aur Shumali Korea ke Kim Jong Un ki June mein hui choti mulaqaat ke mushtarka elamia ke chaar nukaat mein se aik nukta yeh bhi tha ke Amrici faujion ki baqyaat auta di jaye gi. Sadar America Donald Trump ne baqyaat lautanay par Shumali Korea ke qayed Kim Jong Un ka shukriya ada karte hue tawaqqa zahir ki ke un se dobarah mulaqaat hogi.