Sunday, May 5, 2024
HomeLatest NewsShoiab Malik aur Sania Mirza afwahon ki zad mein

Shoiab Malik aur Sania Mirza afwahon ki zad mein

Dubai: Hindustani Tennis Star Sania Mirza se 2010 mein Shaadi ke baad Pakistani Cricketer Shoiab Malik musalsal surqhiyon mein rahay hain. Shoiab Malik aur Sania Mirza ke taluqaat ke hawalay se media mein khabrain aati rehti hain lekin dono ki janib se hamesha is baat ki tardeed ki gayi hai ke un ke darmiyan koi ikhtelafat nahi hain lekin ab aik martaba phir un ke Sania Mirza se azdawaji taluqaat ke hawalay mukhtalif khabrain gardish kar rahi hai jis ki asal wajah Shoiab Malik ka achanak rukhsat le kar England se wapas aajana hai.

PCB ke mutabiq team intizamiya ney inhen doryeh England se 10 din ki rukhsat di hai aur kaha hai woh zaati mamlaat ko nimtaney ke liye wapas ghar jarahay hain. Woh mutawaqqa tor par 10 din ke arsay mein dobarah team mein shaamil ho jaien ge. Zaraye ke bamoujib Pakistani team ke manager Talat Ali Malik ney khiladion ko sakhti se hidaayat di hai ke woh is baray mein hotel ya dressing room mein baat cheet se guraiz karen. Shoiab Malik London se Dubai puhanche, unhon ney team intizamiya ko mutala kiya hai ke khandani mamlaat tey karne jarahay hain.

Zaraye ke mutabiq itwar ko Shoiab Malik pursukoon they unhon ney Northpethan atay huwe bas rukwa kar bargar khareeday, Doston se khush gappiya karte rahay aur raat ko film bhi dekhi taham pir ki subah unhon ney pareshani mein aik haftay ki chhutti talabb ki. Team Manager Talat Ali ney kaha ke Shoiab Malik kuch batana nahi chahtay they aur nah mein ney tafseel jan-nay ki koshish ki. Khiladion se kaha hai ke Shoiab agar khud chahay to baat kere, Players aapas mein chay megoyyan nah karen. Shoiab Malik ki baat ka ehtram karte huwe unki tanhai ko ahmiyat day rahay hain. Woh hamaray ahem khiladi hain umeed hai ke haftay baad team mein shaamil ho jaien ge. Darin Isna Shoiab Malik ke qareebi zaraye ney kaha hai ke un baton mein koi sadaqat nahi, maazi mein bhi is qisam ki afwahen phailai gayi hain, media ghair zaruri baton se guraiz kerea.