Sunday, April 28, 2024
HomeTrending NewsShohar se alehadgi ke liye WhatsApp ki jasoosi

Shohar se alehadgi ke liye WhatsApp ki jasoosi

Riyadh: Saudi Arab mein ek khatoon ne apne shohar se alehadgi ka mutalba karne ke liye anokha tareeqa ikhtiyar kiya jis ke liye is ne apne shohar ke WhatsApp paighamaat aur video ki jasoosi shuru kar di. Khawind ke WhatsApp Account ko hacked karkay 9 mah tak is ki nigrani karti rahi aur phir shohar se alehadgi ki darkhwast adalat mein dair kar di.

Media ne tafseelaat faraham karte hue kaha ke biwi ko shuba hogaya tha ke shohar un se munharif ho rahay hain. Shuba daur karne ke liye musalsal 9 mah tak un ke tamam WhatsApp paighamaat ka jaiza layte rahen aur phir alehadgi aur talaq ki darkhwast kar di. Shohar ne tanaza se bachney ke liye musalihat ki pesh kash ki hai.

Qanooni musheer Khalid Abbu Rashid ne WhatsApp ki copy karkay is ki nigrani ki qanooni hesiyat par qanooni raye dete hue kaha ke khatoon ne jo kuch kiya wo qanoon ki nazar mein jurm hai. Information Crime ke dairay mein aata hai jis ki saza 1 baras qaid aur 5 lakh Riyal tak jurmana hai. Abbu Rashid ny kaha ke shohar ya biwi ya baap ya bhai koi bhi kisi ke bhi mobile ko hacked karne ka majaz nahi. Aisa karna qanonan jurm hai. Is silsilay mein khandani taluqaat ko bhi mad-e-nazar nahi rakha jata. Khandan ka koi bhi fard kisi bhi fard ke mobile ko hacked karne ya is mein mazkoor maloomat haasil karne ka majaz nahi hai.