Sunday, May 11, 2025
HomeLatest NewsShohar ki mout ke 6 saal baad Hyderabad ki khatoon ko 53...

Shohar ki mout ke 6 saal baad Hyderabad ki khatoon ko 53 lakh rupiye muawza mila

Hyderabad: Sadak haadsay mein apne shohar ko khonay ke 6 saal ke baad hafta ke roz ek khatoon ko Lok Adalat se 53 lakh rupiye muawza haasil huwa. K Uma aur unki beti apne shohar ki mout ke baad be yaaro madadgaar they. 2013 mein Nalgonda zila ke Dindi mein ek maal bardaar gaadi ne peshey se constable ko takar mardi aur is ki mauqa par hi mout hogayi thi.

6 saal baad, Is ne insurance company se qanoon ladai jeetli aur insurance company ne bhaari raqam yani 53 lakh rupiye ada kiya. Civil court ki chief justice aur district legal Services authority ki chairman  Sumalatha ne 53 lakh rupiye ka check Uma ke hawalay kiya. Jisay pa kar mehlook constable ki ahliya Uma ke chehray par khusi chhalakne lagi.

Riyasat bhar mein munaqidah Telangana state Legal services Authority ki baday pemanay par lok adalatoun ke juwaz ke liye amal daraamad kiya gaya. Shehar ki Civil court mein, Sumalatha, Aur unke judges aur afsaraan ki team ne, Isi terhan ke mutasirah, Mutadid khandano ko 35 crore rupiye ki raqam taqseem ki.

City Civil court mein Superintendent M Venugopal ne bataya ke ”hafte ke roz 585 haadsat ke 718 muqadmaat neptaye gaye. –YTN STAFF