Wednesday, May 1, 2024
HomeSliderShohar ki doosri shadi ke din pehli biwi ka apne bachon ke...

Shohar ki doosri shadi ke din pehli biwi ka apne bachon ke sath jashnn

Riyadh: Hindostan aur Pakistan ke ilawa deegar mumalik mein jis feal halal ko sab se mayoob samjha jata hai woh shohar ki doosri shadi hai lekin Arab mumalik aur khaas kar Saudi Arab mein doosri shadi ko nah sirf Islam ka ek juz tasawwur kiya jata hai balkay kayi mauqa par shohar ki doosri shadi ka pehli biwi jashnn bhi manati hai aur taqreeb mein shirkat bhi karti hai. Aisa hi ek waqea Saudi Arab mein pesh aaya jahan shohar doosri shadi par pehli biwi ny apne bachon ke sath jashnn manaya hai.

Umme-Omar nami Saudi khatoon ney doosri shadi par apne bachon ke sath jashnn mananay ke ilawa apni khushi ki video shaya kiya jis se social media ke sarfeen herat mein mubtala hugaye. Website ki janib se jari kardah khabar mein pehli biwi ke jashan ki tafseelaat faraham ki gayi hain jis mein pehli biwi Umme-Omar ney kaha hai ke unkay shohar ki doosri shadi par woh nah sirf khush hain balkay poori terhan se raazi bhi hain kyunkay is ke liye unhoun ney pehlay se hi zehan bana liya tha.

Umme-Omar ney muqami channel ko interview dete hue kaha hai ke mein Madina Munawwara ki muqeem hon jabkay mere shohar mulazimat ki wajah se dosray shehar muqeem rehtay hain. Yeh doori hamari majaboori hai kyunkay shohar apni mulazimat tark nahi karsakte jabkay mein un ke paas Madina Munawwara chod ja nahi sakti aur is terhan hum ney 6 saal guzaar diye hain. Umme-Omar ney kaha ke guzashta 4 saal se mein zehni tor par khud ko upper shohar ki doosri shadi ke liye tayyar kar rahi thi aur uskay ilawa apne shohar ku doosri shadi ke liye bhi raghib kar rahi thi.

Umme-Omar ney kaha hai ke bil akhir woh din agaya ke mein shohar ki shadi ke mauqa par apne ghar mein apne bachon ke sath jashnn manaya. Jashnn mananay ki wajah batatay hue unhoun ney kaha ke mein chahtee hon ke mere bachay bhi waalid ki khushi par khush hon. Aakhir woh bhi apne walid kay dosray ghar ka hissa hain aur mustaqbil mein un ke bhai behan bhi dosray ghar mein hon ge . Umme-Omar se istafsaar karne par ke shohar ki doosri shadi par kiya tohfa diya hai jis ka jawab unhoun ney diya aur kaha kay mein ney shohar ko asli aur khaliz shehad tohfay diya hai taakay hamari anay wali zindagi shehad se bhi ziyada meethi ho.

Yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke social media par Umm-Omar ki video ko kayi deegar afraad ne share ki hai jis par mila jala radd-e-amal samnay aaya hai. Kisi ne is iqdaam ko misali qarar dete hue isi qurbani qarar diya to kisi ne is par tanqeed bhi ki hai.