Sunday, May 19, 2024
HomeLatest NewsShohar Biwi Ko 5 Arab Dinar Mehar Dene Raazi, Iraqi Tareekh Ki...

Shohar Biwi Ko 5 Arab Dinar Mehar Dene Raazi, Iraqi Tareekh Ki Mehngi Tareen Shadi

Baghdad : Shadi har Insaan ki zindagi ka ek Khushgawar lamha hota hai aur har koi is Khushgawar lamha ko yadgar bananay ke liye koi kasar nahi chhodhta yeh hi wajah hai ke log apni shadi mein be dareekh kharch karne se bhi ghabrate nahi aur aisi hi ek misaal ab Iraq mein dekhni ko mili hai jahan mulk ki sab se mehngi shadi maqboliat haasil kar rahi hai. Iraqi tareekh ki mehngi tareen shadi ki khabar social media par Viral hui hai jis ke baad nai behas chidh gayi hai.

Baghdad ke al-karaq ilaqay mein adalat nay aik aisay nikah naame ki dastaweez jari ki hai jis mein Mehar ki raqam 8 arab Iraqi dinar ( 80 laakh dollar ya taqreeban 1 arab 20 crore rupay ) muqarrar hai. nikah naame ke mutabiq dulhan mutalqa aur do bachon ki maa hai. dulha ki taraf se yeh bhi iqraar nama jama karwaya gaya hai ke woh mutalqa dulhan ke do bachon ki parwarish aur taleem wo tarbiyat ka bhi zimmedaar hoga. Iraq ki khabar rasan idaray ke mutabiq haq Mehar ki 8 arab dinar mein se 3 arab paishgi ada kardiye gaye jabkay 5 arab dinar Mehar muajal ke tor par tey hue hain. iska matlab yeh hai ke dulhan jab bhi 5 arab dinar talabb karegi shohar ko yeh raqam ada karna hoga. shadi ka indraaj karbala commissioner ki araqi adalat mein hua tha .

social media par mehngi tareen shadi par tanqeed ki ja rahi hai. 8 arab dinar Mehar ki khabar par har koi haeran hai. sarfeen nay kaha hai ke itnay ziyada Mehar se samaaj mein masail paeda honge. sarfeen sawal kar rahay hain ke aakhir itni bhaari Mehar ki kiya zaroorat padh gayi. naqideen nay yeh bhi kaha hai ke itni ziyada Mehar ka rivaaj Iraq mein maamar kunwaroun ki tadaad mein izafay ka baais banayga. wazeh rahay ke arab duniya mein Iraq maamar kunwaron ki tadaad ke hawalay se teesray number per hai .

Haq Mehar do qistoun mein ada kiya jata hai. pehli qist nikah ke waqt dena hoti hai jisay Mehar muajal kaha jata hai aur doosri qist fariqain mein jhagday aur talaq tak noubat pohanch jane ki soorat mein ada ki jati hai jisay Mehar muajal kaha jata hai. haq Mehar ki 8 arab dinar mein se 3 arab paishgi ada kardiye gaye. yaad rahay ke is se qabal iraqi khatoon Rana Jameel ko sab se ziyada Mehar panay wali khatoon shumaar kiya ja raha tha. haq Mehar 2 arab Iraqi dinar ( 1.7 million Dollars ) tey hua tha . -YTN STAFF