Monday, May 13, 2024
HomeLatest NewsShoaib malik ke 20 sala career ka mayoos kan Ikhtetaam

Shoaib malik ke 20 sala career ka mayoos kan Ikhtetaam

Leeds: Pakistani cricket team ke sabiq captain Shoaib malik ke 20 sala ODI career ka mayoos kan andaaz mein ekhtataam hogaya aur all rounder ko apne career ka widai match na mil saka. 14 october 1999 ko ODI career ka aaghaz karne walay Shoaib malik ney 287 ODI matches mein Pakistan ki numaindagi karte hue 9 centuries aur 44 nisf centuries ki madad se 7534 runs banaye. all rounder ney 7 hazaar se zayed runs bananay ke alawa 158 wickten bhi haasil kee.

Test cricket se pehlay hi kinara kashi ikhtiyar karne walay Shoaib malik ney rawan saal hi yeh elaan kardiya tha ke world cup unke career ka aakhri ODI tournament hoga aur woh is ke baad sirf T20 matchon mein team ki numaindagi karenge. Shoaib malik ko kharab karkardagi ke bawajood yeh keh kar world cup squad ka hissa banaya gaya ke unka tajurbah world cup mein team ke liye ahem saabit hoga lekin mamlaat is ke baraks rahay.

Ibtidayi 3 matches mein bad-tareen karkardagi aur sirf teen runs bananay ke sath sath team mein girah bandi ki khabrain samnay aaney par team managment ney Shoaib malik ko qata 11 khiladion se bhi bahar kardia aur is ke baad haeran kan tor par team jeet ki raah par gamzan hoyi aur lagataar 4 match jeet kar event ka fatah ke sath ekhtataam kiya. is tarhan tajurbahcar Shoaib malik ke career ka afsoosnaak andaaz mein ekhtataam hua aur inhen apne career ka widai match bhi nahi mil saka. taham match ke ekhtataam par team ke khiladion ney inhen bharpoor kharaaj tehseen paish karne ke sath sath guard of honor bhi paish kiya.

Bangladesh se match ke ekhtataam par team ke khiladion ney Shoaib malik ke sath musafah kiya aur Pakistan ke liye khidmaat par unka shukriya ada kiya. Shoaib malik ney press conference mein kaha kay mein pehlay hi yeh elaan kar chuka tha ke world cup ke baad kinara kash hojaunga, is khel ko khairabad kehnay par udasi hai jisay mein bohat pyar karta hun lekin ab mein apni khandan ko waqt dunga.

Unhon ney kaha ke ab mein T20 cricket par tavajja day sakunga aur 20 saal ke career ke douran mukammal himayat karne par mein khiladiyoun, tamam coaches, Pakistan cricket board, sponsors aur apne ahl-e-khana sameit tamam afrad ko shukar guzar hon lekin mein sab se ziyada apne madahoun ka shukar guzaar hon. unhon ney ek sawal ke jawab mein kaha ke board ab Sarfraz ko mazeed mawaqay deta hai ya koi naya captain banana hai lekin jisay bhi qayadat di jaye usay kam az kam do saal ka waqt diya jaye. Shoaib malik ney kaha ke hamaray haan captain ko nahi pata hota ke woh agli series mein hogaya nahi to aisi soorat mein captain apne khiladiyoun ke liye lad nahi sakta lehaza jisay bhi qayadat saumpe, usay taweel waqt den. –YTN STAFF