Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaShivSena ki nazar may Adwani Qad Aawar Leader

ShivSena ki nazar may Adwani Qad Aawar Leader

Hyderabad: BJP ke senior leader LK Adwani ko party ne is martaba Gandhi Nagar se ticket nah dete hue unke maqam par BJP ke saddar Amit Shah ko ticket faraham kiya hai jis ke baad mukhtalif gooshoun rad-e-amal araha hai jis mein ab maharashra mein BJP ki Haleef jamaat ShivSena ne bhi apna rad-e-amal zahir karte hue adwani ko BJP ka qad aawar quaid qarar diya hai .

Party ke tarjuman akhbar ”Saamna“ mein tehreer kardah idara mein ShivSena ne kaha hai ke adwani party mein ba-hasiat umeed waar mojood rahen ya nah rahen lekin woh siyasi subuk doshi ke bawajood bhi BJP ke qad aavar leader hain aur woh barsar iqtedar jamaat ke liye Bheshma chariha ka muaqqaf rakhtay hain. laal krishan adwani ko hindustani siyasat mein Shamabhi charih ke naam se jana jata hai lekin BJP ke umeedwaron ki jo fehrist jari ki gayi hai ke is mein Adwani ka naam shaamil nahi hai .

ShivSena ki janib se idaria mein kaha gaya hai ke taaza tareen sorat-e-haal ke baad yeh kaha ja sakta hai ke BJPke senior quaed Adwani ka ehad khatam hogaya hai. Adwani gujrat ke Gandhi Nagar halqa se 6 martaba kamyaab hue hain lekin ab is ilaqa se amit Shah ko umeed waar banaya gaya hai jis se yeh baat wazeh hogayi hai ke Adwani ko subukdosh honay ka ishara day diya gaya hai. 91 sala adwani, wazeer e dakhla aur deputy Prime Minsiter ke ohdoun par bhi Faiz rahay hain lekin Narendra Modi ki janib se BJP ki qayadat sambhalne aur 2014 may kamyabi ke baad Amit Shah ko party sadar banaye janay ke baad se Adwani ko ahmiyat nah dainay ke alawa inhen marg darshik mandal ka rukan banaya gaya hai .

 

 

 

Y THIS NEWS STAFF