Monday, May 20, 2024
HomeIndiaShiv Sena ki dhamki ke baad Taj Mahal mein sakht hifazati intizamaa

Shiv Sena ki dhamki ke baad Taj Mahal mein sakht hifazati intizamaa

Agra : Shiv sena ki janib se sawan ke mahinay mein har peer ko Taj Mahal ke paas aarti karne ki dhamki diye jane ke baad agrah ke zila intezamiya ne, Archeological survey of India ki darkhwast per Taj mahal ke bahar hifazati intizamaa karne se ittafaq kiya hai.

Ohdedaroun ne ek khat likha hai jis mein kaha gaya hai ke qadeem yadgaroun, aasaar-e-Qadima sites aur range act, 1958 ke kisi bhi tarhan ki mazhabi mashq aur mehfooz yadgar mein nai rivayet ka aaghaz, act ke qawaid ke khilaaf hai.

Agra Shiv Sena ke saddar Veenu Lavania ne 17 July ko zila intezamiya aur police ko challenge kiya tha ke inhen aur unke sathiyoun ko Taj Mahal mein aarti karne se rok kar dikhaayen. Veenu lavania ne kaha tha ke Taj Mahal maqbarah nahi hai, yeh Tejo Mahalaya, shiv ka mandir hai. aur hum sawan ke mahinay ke har peer ko Tejo Mahalaya par aarti karenge.

Agra ke circle vasant Vasant Swarankar ne kaha ke Taj Mahal mein koi aarti wo pooja ka muzahira nahi hoga. unhoun ne kaha ke hum ne zila hukkaam se Taj Mahal ke bahar munasib security intezamat karne ki darkhwast ki hai.

Additional district magistrate ( ADM ) KP singh ne kaha ke shehar mein aman wo Amaan ke halaat ko kharab karne ki ijazat nahi di jayegi. aur ASI  ki darkhwast ke mutabiq munasib intizamaa kiye jayenge.

Yeh pehli baar nahi hai jab is tarhan ka tanaza khada karne ki koshish ki ja rahi hai, guzashta saal Taj Mahal ke andar masjid mein khawateen ke ek group ne pooja ki thi, taakay yeh saabit kiya ja sakay ke yeh asal mein shiv mandir tha. 2008 mein Shiv Sena ke kaarkunon ka ek giroh Taj Mahal mein ghus kar, aur haath jodh kar mazhabi rasam ada ki thi. aur police ke aanay ke baad woh muntashir ho gaye they.
-YTN STAFF