Monday, May 20, 2024
HomeIndiaShiv sena ke mutalibaat na qabil-e-qubool : Amit Shah

Shiv sena ke mutalibaat na qabil-e-qubool : Amit Shah

Mumbai : Markazi wazeer Ramdas ne ishara diya hai ke BJP Maharashtra mein Shiv sena ke sath apne taluqaat ko dobarah hamwar karne mein kamyaab hojayegi lekin unhon ne mojooda siyasi bohraan par tashweesh ka izhaar kiya hai. unhon ne daawa kiya ke BJP sadar aur markazi wazeer-e-dakhla Amit Shah pur-umeed hain aur unhon ne kaha ke dono sabiq ittihadi milkar riyasat mein hukoomat banayengi.

Markazi wazeer-e-dakhla aur BJP sadar Amit Shah se apni guftagu ka zikar karte hue ram daas ne kaha ke maharashtra mein jald hi BJP ki hukoomat tashkeel di jayegi. Unhoun ne kaha ke Amit Shah ne inhen bataya hai ke Maharashtra mein jald hi sab theek hojayega aur kaha kay mein ne Maharashtra ke siyasi bohraan par markazi wazeer-e-dakhla Amit Shah se baat ki aur inhen bataya ke agar woh mudakhlat karta hai to riyasat mein ek darmiyani zameen hogi.

Unhon ne kaha Amit Shah ne inhen yaqeen se kaha ke aap fikar na karen, jald hi sab theek hojayega. Maharashtra mein BJP aur Shiv sena mil kar hukoomat banayenge. is douran guzashta haftay Maharashtra mein siyasi ta-attul par Amit Shah ne apni khamoshi todte hue kaha ke intikhabaat ke baad Shiv sena na qabil-e-qubool mutalibaat kar rahi hai jisay qubool nahi kiya jasakta. unhon ne kaha ke intikhabi jalsoun ke douran wazeer-e-azam modi aur mein ne mutadid baar kaha tha ke agar Maharashtra mein VJP Shiv sena ittehaad jeet jata hai to Devendra Fadnavis chief minister honge, is waqt kisi ne bhi is par aiteraaz nahi kiya tha. unhon ne kaha ke intikhabaat ke baad Shiv sena ek naya mutalba samnay hai. jo qabil-e-qubool nahi hai. –YTN STAFF